Tibb e Masumeen

Aik shaks Imam Ali Raza AS k paas aya aur kaha jab mein bahar jata hun to dusrey muqamat ka paani meri sehet pe bura asar krta hai.Imam n...



Aik shaks Imam Ali Raza AS k paas aya aur kaha

jab mein bahar jata hun to dusrey muqamat ka

paani meri sehet pe bura asar krta hai.Imam ne

mashwara dya: Apni jaga ka paani aik burtan men

saath le jao aur usey khali na hone do. Jb is men

thora sa paani baqi bach jaey to doosri jaga ka

paani is men mila lya jaey. Is tarah tmhari jaga k

paani k asraat akhir waqt tk baqi rahen gey

chahey is men 50 mukhtalif muqamat ka paani

kyon na milaya jaey ---- (Tib e imam Ali Raza

AS Pg 10)

Jo shaks chahey k usey naaf ki shikayat na ho

isey chahiye k jab sir men tail daaley naaf men

bhi laga lya karey

Jo shaks chahey k is ka badan halka phulka rahey

aur ziada motapa na charhey aur buht gosht na

barhey isey chahiye k raat ka khana kam kardey

Jo chahta hai k us k naakhun na phaten aur bud

soorat na hon isey cahiye k siwaey jumiraat k aur

kisi din naakhun na katwaey.

Jo shaks chahey k usey sardi mein zukam na ho

wo 3 chamchey shehed rozana pi liya karey.

Nargis k phoolon ko soonghney se bhi zukam

nahi hoga.

Jo shaks chahey k us k kaan mein kabhi dard na

ho usey chahiye k sotey waqt kaan mein rooee

rakh liya karey ----Tib e imam Ali Raza AS Pg 24

jo shaks ye chahey k us k daant kharab na hon

isey chahiye k meethi cheez khaney se pehley roti

ka rookha tukra kha lya karey

Jo shks yarqan se bachna chahey usey chahiye k

garmi k mosam mein jab kisi makan ka darwaza

kholey to forun is mein daakhil na ho aur sardi k

mosam mein jab kisi bund makan ka darwaza

khuley to forun bahar na nikley.

Jis shaks ko ye manzoor ho k us k kaan na

bahen usey chahiye k jab koi meethi cheez khaey

sirkey se ghararey kar lya karey -------Tib e

imam Ali Raza AS Pg 25

Jin gosht aur machlion mein namak laga kar

sukha diya jata hai in ka khana khujli paida karta

hai.

Ziada andey khaney sey mun par chayan paida ho

jaati hain.

Yaad rakhna k maidey mein aik waqt mein andey

aur machli jama na hon. Kyon k jab insan mein in

ka ijtama hota hai to qolanj, bawaseer aur daarh

ka dard paida hota hai. --------Tib e imam Ali

Raza AS Pg 26

Neem barasht (half fried or boiled) andey khaaney

se dama paida hota hai.

Shikaari chopaayon (animal having 4 legs) ya

gaaey (cow) ka gosht ziada khaaney se aqal mein

fatoor paida hota hai, zehen bhadda ho jaata hai

aur bhool paida ho jaati hai.

Doraan-e-ayaam-e-haiz aurat se jama (sex)

karney se aulaad mein marz e jazaam(korh) paida

hota hai. Jamaa k forun baad peeshaab na karney

se pathri paida hojati hai. Jama k baad ghusal

kiay baghair doosri martaba jama karney se

aulaad main junoon paida hojata hai.

Bharey pait hamam jaaney se qolanj paida hota

hai aur Machli kha kar thandey paani se ghusal

karney se faalij paida hota hai-----Tib e imam Ali

Raza AS Pg 27

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mujhey Rasul Allah

(S.A.W) ne bataya hai k “Aik din aik martaba

khana khaya karo aur doosrey din do martaba (2

din mein 3 martaba) aur khana is andaaz se ho k

na kum na ziada aur kuch bhook baaqi rehney par

chor dena chahiye.-----------Tib e imam Ali

Raza AS Pg 29

Jis shaks ko nahaney mein dard e sar hota hai wo

nahaney se pehley 5 ghoont garam paani k pi ley

to inshallah dard e sar nahi hoga.

Munasib hai k jab jama (sex) ka irada ho to raat k

aakhri hisey ko karey k is se jisam ki bhi islaah

hoti hai aur aulaad paida honey ki ziada umeed

hai aur jo aulaad Khuda ko deni manzoor hai wo

aqeel bhi hogi. Awal shab jama krne se qolanj,

faalij, laqwa aur pathri paida honey ka qawi

andesha hai. -----------Tib e imam Ali Raza AS

Pg 32

Jo shaks khaalis shehed ko soonghey ga usey

pyaas forun maaloom hogi. Agar soonghney se

shidat ki garmi maloom ho to wo qisam zehr e

Qaatil hai. ----------- Tib e imam Ali Raza AS Pg

41

Quran parhney, shehed khaaney aur doodh peeney

sey se haafiza (memory) barhta hai. -----------

Tib e imam Ali Raza AS Pg 44

4 cheezein dil ko sakoon deti hen

1.Shehed khana

2.Khushboo lagana

3.Sawari karna

4.Sabza (greenery) dekhna

Paichish (loose motion) k liay Akhrot bhoon kar

cheel kar khao.

Injeer khana dard e qolanj (collic) men buhat

mufeed hai. Is se mun ki gandagi jaati rehti hai,

ganjey badan par baal paida ho jaatey hen, tarah

tarah k dard jaatey rehtey hen aur hadiyan (bones)

mazbut ho jaati hen. ----------- Tib e imam Ali

Raza AS Pg 45

Tool-e-umer k liay acha khana khana, achi jooti

pehnna, Qarz se bachna aur kasrat-e-jama se

parhez karna mufeed hai.

Jab tak mumkin ho tabeeb se rujoo na karo

kyunkey jism k ilaaj ki misaal makaan ki taameer

jaisi hai. Jahan is ko chera aur tool pakra.

Khaney ki ibtada namak se karni chahiye kyunkey

is se 70 beemaarion se hifazat hoti hai jin men

jazaam bhi hai.

Khana thanda karkey aur pyaley k kinarey se

khana chahiye. -----------Tib e imam Ali Raza

AS Pg 46

Yaqoot-e-zard ki anghooti jo shaks pehney ga wo

kabhi faqeer na hoga. Ye gham ko door karta hai,

dushman maghloob rehtey hen aur beemari se

hifazat karta hai.

Mard ko khushbu chorni munasib nahi hai. Behtar

to ye hai k har roz lagaey. Agr is par qudrat na

rakhta ho to aik din k baad lagaey. Agr ye bhi

mumkin na ho to juma k din zaroor lagaey.

Jo koi sotey waqt ayatul kursi parh ley wo faalij

se mehfuz rahey ga.

Jis shaks ko sar men itni sardi lagti ho k

mehsoos ho k hawa lagey gi to ghash aa jaega

wo khaney k baad naak men roghan-e-anbar aur

roghan-e-chanbeli tapka lya karey.

Masoor 70 Anbiaa (prophets) ki pasandeeda

khoraak hai. Is se dil narm hota hai aur aansoo

bantey hen. ----------- Tib e imam Ali Raza AS

Pg 47

Jo koi jo ki roti khaega us k pait men dard baaqi

nahi reh sakta. -----------Tib e imam Ali Raza

AS Pg 49

Jis chashmey ka rukh mashriq ki simt hoga is ka

paani nahayat saaf aur sehat k liay intehai faida

mund hoga.

Jumay k din naakhun kaatney se ghurbat aur

faqeeri door hoti hai. ----------- Tib e imam Ali

Raza AS Pg 51

Agr peeshab na teherta ho aur barabar qatra aata

ho to thora sa asfand (kala dana) le kar 6 martaba

thandey paani se aur 1 martaba garam paani se

dho daalo phir saaey men sukha kar roghan-e-

gul men churb kar k safoof bana kar phaank lo.

----------- Tib e imam Ali Raza AS Pg 52

Khuda se rozi sadqa de kar maango. Khuda tarsi

aur parosion k saath acha salook karney se maal

men ziaadti hoti hai. ----------- Tib e imam Ali

Raza AS Pg 53

Insan k jism men aik rug hai jis ka naam isha hai.

Jb koi raat ko khana nahi khata aur paani nahi

peeta to ye rag bud dua karti hai aur subah tak

yehi kehti rehti hai k Khuda tujhey sair o sairaab

na karey k tu ne mujhey bhooka pyasa rakha hai.

Agar shehad ko ghiza ka musatqil hisa bana len

to jigar ki kisi takleef ki nobat nahi aaegi.

Khoon ki safai aur naey khoon ki paidaaish k liay

naashtey men shehad k istamaal ko maamool

bana len.

Khaney k baad taqreebun aik chota chamcha

(kitab men di gae miqdaar k mutabiq aaj kal ka

aik chamcha) shehad khalis rozana istemaal

karney se joron ka dard door ho jata hai.

Subah k waqt aik pyali garam pani men aik

chamcha (chota) shehad ghol kar nihaar mun

peeney se qabz door hojata hai.

Baalon ki sufeedi ka sar k agley hisey se shru

hona salamti aur iqbal-e-bulandi ki daleel hai aur

ruksaaron, daarhi k atraaf se shru hona sakhawat

ki alaamat hai aur gaisuon se shuru hona shujaat

ka nishaan hai aur guddi se shuru hona nahoosat

hai. ----------- Tib e imam Ali Raza AS Pg 54

Agar barkat chahtey ho to khana khaney k liay jab

betho to haath zaroor dholo chahey pehley se saaf

hi kyon na hon.

Ziada kanghi karney se balgham door hota hai.

Dastarkhwaan par jo raizay(zarrey) girtey hen in

ko ikhata karkey khaney se dard-e-kamar ko

aaraam ho jata hai.

Kaala(black) joota pehanney sey beenaai(eyesight)

kamzor ho jaati hai.

Sattoo 70 qisam ki beemarion ko door karta hai.

Maiday ko quwat daita hai, pyas ki ziadti ko door

karta hai aur maiday ko saaf karta hai.

Raat ko surma lagana munafey ka aur din men

lagana zeenat ka sabab hai -----------Tib e

imam Ali Raza AS Pg 55

Parhaiz aur faqa ki hud 14 din hai aur parhaiz se

ye muraad kabhi nahi hai k jis cheez se perhaiz

ho wo mutliqan na khaae jaey balkey ye matlab

hai k kum kum khai jaey.

Jab tandurusti ghalba paati hai to beemaar ko

hosh aata hai aur usey bhook lagti hai. Is liay

munasib hai k jis waqt beemar khana maangey

usey de do shayad is k liay is men shifa ho.

Jab tak tabiat marz ko bardasht kar sakey dawa

se bacho. Allah jab tak marz ka muqarara waqt

pura nahi hota, dawa ko taaseer karney ki

mumaniat farma daita hai. Jab wo waqt pura ho

jata hai dawa ko asar ki ijazat mil jati hai aur isi

dawa se aaraam aa jata hai. Haan ye ho sakta hai

k dua, khairaat ya aur naik kaamon k sabab

Khuda is waqt-e-muqarara men kami kardey aur

dawa ko taaseer ki ijazat mil jaey. ----------- Tib

e imam Ali Raza AS Pg 56

Quran-e-Majeed men har beemari k liay shifa hai.

Munasib hai k tum apney beemaron ka ilaaj

sadqey se karo aur hasool-e-shifa k liay Quran

Majeed parho kyon k jis shaks ko Quran Majeed

se shifa na ho is ko aur kisi cheez se shifa nahi

ho sakti. ----------- Tib e imam Ali Raza AS Pg

57

Mosam-e-sarma men tail ki maalish se riyahi

dard (gas ki beemari) dafa hoti hai. -----------

Tib e imam Ali Raza AS Pg 58

Is josh diay huay paani se jisey 7 martaba josh

diya gya ho aur har martaba bartan badal gya ho

peeney sey bukhaar jaata rehta hai aur paaon aur

pindlion mein quwwat aa jaati hai.

Apney beemaron ko choqandar k patey (leave)

khilao k in men shifa hi shifa hai. In paton ko kha

kar beemar chain se sota hai magar choqandar ki

jar (roots) men nuqsan hai.

Sattoo behtareen khoraak hai. Bhookey ka is se

pait bharta hai aur pait bharey ka khana hazam

hota hai.

Jis shks ki beenaai (eyesight) zaeef ho gae ho

isey laazim hai k sotey waqt 4 silayan daahni

(right) aur 3 silayan baayen (left) aankh men

surmey ki lagaya karey ----------- Tib e imam

Ali Raza A.S. Pg 59

Aolaad ki kami ho to istaghfaar parha karo aur

murgi ka anda pyaaz k saath khaya karo.

Nihaar mun Kharbooza khaney se faalij paida hota

hai.

Kaasni koot koot kar aik kaghaz par phela do aur

is par roghan-e-banafsha chirak kar paishani par

laga do. Is se Bukhar aur dard-e-sar donon door

ho jaen gey. ----------- Tib e imam Ali Raza

A.S. Pg 60

Jis shaks ka nutfa mutaghayar ho jaey yaani

aolaad na hoti ho, is ko chahiye k doodh men

shehad mila kar piya karey.

Injeer mun ki badboo door karta hai, hadyon ko

mazboot karta hai, baal barhata hai, mukhtalif

qisam k dardon ko door karta hai. Injeer khaney k

baad kisi doosri dawa ki zaroorat nahi rehti.

-----------Tib e imam Ali Raza A.S. Pg 61

Har tandurust aadmi haftey men aik baar 24

ghantey ka roza rakhey. Is se maiday ko aaraam

milta hai aur is par ziada bojh nahi parta.

Dimaghi kaam karney walon ko doodh ka istemaal

ziada karna chahiye. Anaaj kam miqdaar men

khaya jaey aur machli, anda, gosht, tarkaariyan

aaur phal waghera ziada. ----------- Tib e imam

Ali Raza A.S. Pg 71

Jo aadmi sirf sabzion aur anaaj pr rehtey hen aur

saada zindagi basar krtey hen in k maidey jald

kharab nahi hotey aur isi liay in ki sehat buht achi

rehti hai. Jo anaaj ya sabzi jis moasam men paida

hoti hai zaroor khao kyon k Qudrat ne aab o hawa

k mutabiq wohi cheez is jaga k rehney waley

insanon k liay kisi hikmat se paida ki hai.aik waqt

men mukhtalif qisam k khaney na khao is se

haazmey men bara farq prta hai. -----------Tib e

imam Ali Raza A.S. Pg 72

Hazoor SAWW ne farmaya:

Aaps men mulaaqaat karo, ilmi muzaakira karo

aur hadeesain bayaan karo kyoon k hadees

bayaan karnay se dil ko zindagi milti hai kyun k

jis tarah talwaar zang aalood ho jaata hai dil bhi

zang aalood ho jaatay hen (Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28 Asool e Kaafi

Shekh Yaqoob Kuleni)

Hazrat Ali AS ne farmaya:

Khuda ne momin ko kaafir se dosti rakhnay se

manaa kya hai phir khof o taqqaya men iss par

ahsaan kartay huay zaahiri tor par issay ruksat di

hai k roza rakhay aur iftaar karay to mukhalif ki

tarah, namaaz parhay to uss ki maanind aur amal

karay to uss jaisa. Zaahir men sab waisa karay

lekin baatin men in ummat e muslima par

mussalat mukhalif logon k khilaaf apna deen aur

imaan qaaim rakhay. Allah ne farmaya hai

“mominon ko chaahiye k mominon ko chor’h kar

kaafiron ko apna dost na banaaen aur jo aisa

karay ga Khuda ka uss se koi rabt o ta’aluq nahi.

Magar ye k tum unn se daro aur Khuda tumhain

apni zaat se daraata hai”. Pus ye aik rahmat hai

jo Khuda ne Ahl e imaan par farmaaee hai

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha

94-95)

Imam Hassan AS ne farmaya:

Qareeb wo hai jissay muhabbat qareeb karay

chaahay us ka nasb door ho aur door wo hai

jissay adaawat door karday chaahay uss ka nasb

qareeb ho (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 8 Safha 361 Hadis no 4, Asool e Kaafi Shekh

Yaqoob Kuleni)

Imam Zainul Abideen AS ne farmaya:

Dunya ka muqadas tareen muqaam, hajr e aswad

aur muqaam e ibraheem k darmayan hai. Agar koi

shaks hazrat nooh ki umer rakhay aur iss

muqaam par din ko roza rakhay aur raat ko

Khuda ki ibadat karay magar jab Khuda ki

baargaah men jaaey to iss k naama e aamaal men

hamari wilayat na ho to issay ye itni bari ibadat

faaeda na daigi. (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 103 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya:

Jo shaks bari mehnat se Khuda ki ibadat to karay

magar wo Allah k muqarar kiay huay Imam ki

imaamat ka qaail na ho to is ski koi koshish

qabool nahi hai aur wo gumraah hai aur Khuda

uss k amalon ko na pasand karta hai aur agar wo

mar gaya to uss ki moat kufr o nifaaq ki moat

hogi. Wo khud gumraah hen aur doosron ko bhi

gumraah karnay waalay hen (Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 1 Safha 101 Asool e Kaafi

Shekh Yaqoob Kuleni)

Khuda Uss banday par reham farmaaey Jo

hamaray Zikr ko Zinda karta hai (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 344 Hadis no

3)

Baghair Wilayat e Ahlebait, aamaal uss raakh ki

maanind hen k zabardast aandhi waalay din sakht

hawa chalay aur ussay uraa kar le jaaey aur

unhon ne jo kuch kamaya tha iss men se kuch

bhi inn k haath na aaey aur yehi sab se bari

gumraahi hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 101 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Hamari hadeesain dilon ko zinda rakhti hen

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28)

Jo shaks na khuda ko pahchaanat hai aur na

Aema Ahlebait k Imam bar haq ko to Khuda ki

qasam Zalaalat o gumraahi men giriftaar hai aur

ghair Allah ko jaanat hai aur Ghair Allah ki hi

ibadat karta hai(Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Khudawand e Aalam baroz e Qayamat apnay

bandon k hisaab o kitaab aur unn k muwaakhizay

men itni hi sakhti karay ga jitni uss ne dunya men

unn ko aqal di hogi (Masaail u Shariya Sanad

Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u

Shia Jild 1 Safha 59 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni, Imaali Shekh Suduq)

Jis shaks ko kisi amal k bajaa laanay par Allah ki

taraf se sawaab ki umeed ho aur wo shaks Allah

ki taraf se sawaab ki khaatir wo amal bajaa laaey

to uss ko wo sawaab zaroor ataa kar dia jaaega

chaahay wo baat is tarah na ho jis tarah uss tak

puhanchi (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 82 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne apnay shiyon se

farmaya: Tumharay siwa Khuda k ghar ka koi

haaji nahi hai aur na hi tumharay siwa kisi ka koi

amal qabool hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Islam k bunyaad 5 cheezon par rakhi gaee.

Namaz, roza, hajj, zakat aur wilayat e Ahlebait. Jis

qadar wilayat ki taakeed ki gaee hai itni kisi aur

cheez ki nahi ki gaee. (Masaail u Shariya Sanad

Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u

Shia Jild 1 Safha 46 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Islam ki bunyaadi cheezon Namaz, roza,hajj,zakat

aur wilayat men wilayat sab se afzal hai kyun k ye

sab ki kaleed hai aur jo waali (imam) hota hai wo

in sab ka raahnuma hota hai(Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 1 Safha 46 Asool e Kaafi

Shekh Yaqoob Kuleni)

Khuda ne baaqi waajibaat men to ruksat di hai

lekin wilayat men koi ruksat nahi. Jis k paas maal

na ho, iss par zakaat nahi, aur jis k paas maal na

ho uss par hajj bhi nahi. Jo beemaar ho wo baith

kar namaaz parhay ga aur iss par khara hona

waajib nahi, issi tarah beemaar par roza rakhna

waajib nahi magar Wilayat e Ahlebait har shaks

par har haal men laazim hai tandurust ho ya

beemaar, maal daar ho ya ghareeb(Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 49-50 Khisaal

Shekh Suduq)

Tamam amoor ki choti aur unn ki kohaan aur unn

ki chaabi aur sab cheezon ka darwaaza aur Khuda

ki raza, Imam bar haq ki maarifat hai aur iss ki

ataat karna hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 47 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya:

Jo shaks iss hasti ki maarifat k baghair jis ki ataat

Khuda ne farz qaraar di hai namaaz parhay, zakaat

day, hajj o umraa bajaa laaey to dar haqeeqat uss

ne koi kaam kia hi nahi(Masaail u Shariya Sanad

Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u

Shia Jild 1 Safha 104 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Zaani ki aulaad, yahoodi, Isaai, mushrik aur Islam

k har mukhalif ka jhoota makrooh hai aur sab se

sakht makrooh dushman e ahlebait ka jhoota hai

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha

161 baab: Har qisam k kaafir ka jhoota najjis hai,

Faroo e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni, Altahzeeb,

Istabsaar)

Jo Sawaal karnay men kamzor ho Uss ka ILM bhi

kamzor hota hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 8 Safha 424, Asool e Kaafi)

Apnay Gharon men kabootar rakha karo kyun k ye

Imam Hussain AS k qaatilo’n par Laanat karta hai

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha

320, Faroo e Kaafi)

Shar’i Masla: Imam Jaffer Sadiq o Imam

Muhammad Taqi AS k mutabiq Agar Koi Munkir

Ahlebait , Hajj kar chukka ho aur baad men

Wilayat e Ahlebait AS qabool karay to Uss k liay

mustahab hai k Hajj dobara karay (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 72,73, Faroo

e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni, Man La Yahzarul

Faqeeh Shekh Suduq)

Hamari Hadeesain Suno aur Hum (Ahlebait) par

jhoot na bolo. Kyun k Jo Hum par Jhoot bolta hai

wo goya Rasul e Khuda SAWW par jhoot bolta hai

aur Jo Unn par Jhoot bolta hai wo Khuda par

Jhoot bolta hai aur Jo Khuda par Jhoot bolay ga,

Khuda, ussay zaroor azaab karay ga (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 468 Hadis No

4, Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Hamaray liay baaes e zaib o zeenat bano.

Hamaray liay baaes e Sharmindagi na bano.

Hamain Logon ka mahboob banaao aur Logon ko

Hum se nafrat na dilaao. Hamari taraf Logon ki

muhabbat khaincho aur Hum se har qisam k shar

aur Fisaad ko door rakho (Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 8 Safha 337 Hadis no 8 Aakhri

Hisa)

Khuda Uss banday pe reham farmaaey Jo

hamaray mazhab ko Zinda karta hai. Jo shaks

hamara zikr karay ya jis k paas hamara zikr kya

jaaey aur (hamaray masaaib sun kar) uss ki

aankhon se aansoo nikal aaey to Khudawand uss

k gunah maaf kar daiga chaahay samandar k

jhaag k baraabar hi kyun na hon (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 344 Hadis no

1)

(Aey Garoh e Shia) khuda se daro aur Allah ki

khushnoodi haasil karnay k liay aik doosray se

muhabbat karo aur sila rehmi karo. Aik doosray

se mulaaqaat karo aur hamaray amr (mazhab) ka

tazkira karo aur ussay zinda rakho (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 344 Hadis no

Apnay (Momin) Bhai par andha aetemaad na karo

kyun k buhat dheel dainay ki ghalti ki talaafi nahi

ho sakti (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah

Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha

412, Asool e Kafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Naasbi (Dushman e Ahlebait) ki jaanib se Hajj nahi

kya ja sakta. Agar Wo tumhara baap hai to phir

kya ja sakta hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 8 Safha 142, Asool e Kaafi, Man La Yahzarul

Faqih, Altahzeeb)

Na Naasbi (Dushman e Ahlebait) ki taraf se hajj

kia jaaey aur na (uss k) hamraah kia jaaey

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha

142, Faroo e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Agar koi shaks din ko roza rakhay aur raat Allah

ki ibadat men basar karay, saara maal sadqay

men de day aur tamam zindagi hajj karta rahay

lekin agr wo Imam bar haq ki maarifat nahi rakhta

taakay inn se muhabbat karay aur iss k tamam

af’aal o aamaal is ski rahnumaaee men waaqay

hon. Phir na to Wo khuda se kisi ajr o sawaab ka

haqdaar hoga aur na momin kah’laanay ka

rawaadaar hoga(Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 101-102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Bidd’ati Logon se suhbat ikhtiyaar na karo warna

Logon ki nazron men tum inhi mein se samjhay

jaaogay aur Rasul e Khuda SAWW ne farmaya hai

k Insaan apnay dost aur hamnasheen k deen par

hota hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah

Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha

359 Baab Bidd’ati Logon k paas baithna aur baat

cheet karna haraam Hadis No 1, Asool e Kaafi

Shekh Yaqoob Kuleni)

Agar koi shaks qayamat men wilayat e ahlebait k

aqeeda o nazriyay k saath Khuda ki baargaah men

na jaaey to Khuda na iss ki koi naiki qabool karay

ga aur na hi iss k kisi gunaah se dar guzar

farmaaey ga(Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Agar koi hadees kisi aaqil aadmi se haasil karo wo

tamaam dunya aur uss k sonay chaandi se behtar

hai(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28)

Jis tarah Iblees ne Allah k hukm par Aadam ko

sajday se inkaar kia. Ab agar wo qayamat tak

Allah ko sajday karta rahay to ussay in sajdon ka

koi faaida nahi jab tak Wo Allah k hukam par

Aadam ko sajda na karay. Bilkul issi tarah Hzrt Ali

ka daaman chornay waali ummat ka Khuda koi

amal qabool nahi karaiga aur na hi iss ki kisi naiki

ko qabool karay ga jab tak iss raastay se Allah ki

baargaah men na aaey jis raastay se aanay ka

Khuda ne issay hukm dia hai. Aur jab tak is imam

bar haq se muhabbat na karay jis ki wilayat o

muhabbat ka iss ne hukm dia hai aur jab tak is

darwazay se na dakhil ho Jo Khuda aur Uss k

Rasul ne uss k liay khola hai (Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 1 Safha 102 Asool e Kaafi

Shekh Yaqoob Kuleni)

Likho aur apnay momin bhai men apna ilm

phailaao aur jab maro to apni aulaad ko kitaabon

ka waaris banaao kyun k logon par aik aisa doar

aaega jab ulema kam hongay aur ulema numa

jaahil zyaada hongay. Is doar men loge inhi logon

se maanoos hongay aur inhi se ilmi istefaada

karain gay (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 29-30)

Agar 2 riwaayatain Ulema k nazdeek mashoor hon

aur unn k raawi bhi sachay maaloom hon to Jo

riwaayat Kitab e Khuda aur Sunnat e Mustafa

SAWW k mutabiq aur mukhaalifeen k mazhab k

mukhaalif ho uss par amal hoga. Aur agar donon

mukhaalifeen k nazriyaat k muwaafiq hon to phir

uss par amal kia jaaega jis par mukhaalifeen k

ulema o hukma ka ruj’haan kam ho. (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 33 Asool e

Kaafi ,Tehzeebul Ahkaam)

Banday ko Ajr o Sawaab Us ski aqal k mutabiq

milay ga(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah

Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha

59 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Hajj k Moqay par Imam Jaffer Sadiq AS ne apnay

Shiyon se farmaya: Tamam Loge aam loge hen.

Ye sab jhaag hai jissay darya ki moaj ikhata kar k

laai hai. haaji to sirf tum loge ho. tumharay siwa

kisi ka koi amal qabool nahi hai (Masaail u

Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni

Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 102-103

Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Namaz, zakaat aur Wilayat e Ahlebait men se koi

aik bhi doosray k baghair na sahi hai aur na

qaabil e qabool (Masaail u Shariya Sanad Yaafta

Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia

Jild 1 Safha 47 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob

Kuleni)

Imaan k hadood o qayyud Khuda ki waahdaaniyat,

Rasul allah SAWW ki risaalat ki gawaahi aur jo

kuch wo khuda ki taraf se Laaey hen uss ka iqraar

krna, 5 waqt namaaz,zakaat, rozay aur hajj karna.

Hamaray dost se dosti aur hamaray dushman se

dushmani karna aur sachon k saath hona hai.

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 47

Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Agar koi aik hazaar saal tak Khuda ki ibadat karta

rahay aur apnay bistar par zulm o joar se dunbay

ki tarh zibaah kar dia jaaey aur hamari wilayat k

baghair Allah ki baargaah men haazir ho to Khuda

ussay naak k bal jahannum men ultaa latkaaey ga

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha

104 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Moosa Kazim AS ne farmaya:

Jo shaks hamaray shiyon se dushmani karta hai

wo hum se dushmani karta hai. Hamaray shia wo

hen jo namaaz parhtay hen, zakaat detay hen, hajj

kartay hen, rozay rakhtay hen aur hum ahlebait se

muhabbat kartay hen aur hamaray dushmanon se

baizaari ikhtiyaar kartay hen (Masaail u Shariya

Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma

Wasaail u Shia Jild 1 Safha 50 Hadis No 22)

har namaaz jo munkireen e ahlebait parhtay hen

uss se unn par Khuda ki rahmat ki bajaaey Laanat

naazil hoti hai kyun k ye loge hamaray haq ka

inkaar kartay hen aur hamain jhutlaatay hen

(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali

Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha

104 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)






Discover Jaunpur , Jaunpur Photo Album

Jaunpur Hindi Web , Jaunpur Azadari

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item