Aaj ke daur ko dekhte huye Maula Ali ki Hadison ka ek bada Collection. Roman

Main JANNAT Ke Shaukh Me Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi TIJARAT Hai. Main DOZAKH Ke Khauf Se Bhi Ibadat Nahi Karta Kyunki Y...



Main JANNAT Ke Shaukh Me Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi TIJARAT Hai. Main DOZAKH Ke Khauf Se Bhi Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi GULAMI Hai. Main Ibadat Sirf Isliye Karta Hoon Kyunki Mera Rab IBADAT KE QABIL HAI Aur Koi Nahi.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Zindagi Ki Har Mod Pr Sulah Karna Sikho Kyu Ke Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murde Ki Pehchaan Hoti Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Marr Jana hai.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le Jao Khwahishat Ki Taraf Nahi. Kyunki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hoti Jati Hai Aur Khwahishat Baadshahon Ki Bhi Adhoori Reh Jati Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Yeh Zindagi Do Din Ki Hai: Ek Din Tumhare Haq Me Aur Ek Din Tumhare Khilaf. Jis Din Tumhare Haq Me Ho Us Din Ghuroor Mat Karna Aur Jis Din Tumhare Khilaf Ho Us Din Sabr Karna.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Nakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Insan Zindagi Se Mayoos Ho To Kamyabi Bhi Naakami Nazar Aati Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Daulat Milne Par Log Badalte Nahi, Balki Be-Naqaab Hote Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Insan Bhi Kya Cheez Hai...
Daulat Kamane Ke Liye Apni Sehat Kho Deta Hai. Phir Sehat Ko Wapis Pane Ke Liye Apni Daulat Khota Hai.
Mustaqbil Ko Soch Kar Apna Haal Zaya Karta Hai, Phir Mustaqbil Me Apna Maazi Yaad Karke Rota Hai.
Jeeta Aise Hai Jaise Kabhi Marega Hi Nahi, Aur Marr Aise Jata Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Insaan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Nahi Jata Balki Gunah Par Mutmaeen Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Jata Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Sabse Bada Gunaah Wo Hai Ho Karne Wale Ki Nazar Me Chota Ho.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Mujhe Dua Qabool Hone Ki Fikr Nahi, Mujhe Sirf Dua Maangne Ki Fikr Hai. Kyunki Jab Mujhe Dua Maangne Ki Taufeeq Hogayi Hai To Qabooliyat Bhi Uske Sath Hasil Hojayegi.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Tabiyat ki Narmi aur Sakhawat,insan ko Dushmano ke dilon main bhi Mehboob bana deti hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Jis Darakht Ki Lakdi Narm Hogi, Uski Shakhein Zyada Hogi. Narm Tabiyat Ikhtiyar Karo Taaki Tumare Dost Zyada Ho.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Jis Tarah Shabnam Ke Qatre Murjhaye Hue Phool Ko Taazgi Dete Hai, Usi Tarah Acche Alfaz Mayus Dilon Me Roshni Bharte Hai.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Acche Logon Ki Ek Ya Nishani Bhi Hai Ki Unko Yaad Rakhna Nahi Padta Wo Yaad Reh Jate Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Guftgoo Aisi Chez hy Jiski wajah se Insan :
1. Ya to Dil me Utar Jata hai.
2. Ya Phir Dil se Utar Jata hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

KHAMOSH Raho Ya Aesi Bat Kaho Jo KHAMOSHI Se Behtar Ho Ae Jawano: Adab k Zariye Apni izzat aur ILM Ke Zariye Apne Deen ki Hifazat karo.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu Se Kisi Ne Poocha "ILM Kya Hai ? "
To Aap Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya....
"Agar Koi Tum Pe Zulm Kare Tou Usey Mua'af Kar Do
Agar Ta'aluq Torey Tou Jod Lo
Agar Koi Tumhai'n Mehroom Karey Tou Usey Nawaz Do
Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo
Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho "
Ye "ILM" Hai ...
- Imam Ali Quotes on Knowledge (Radiallahu Anhu)

Log Tumhari Aqal Se Tumhari Shaksiyat Ka Wazan Karte Hai. Lehaaza Tum Apni Aqal Ka Wazan Ilm Se Badhao.
- Imam Ali Quotes on Knowledge (Radiallahu Anhu)

Jab Insaan Ki Aqal Mukammal Ho Jati Hai, To Uski Guftagu Mukhtasar Ho Jati Hai.
- Imam Ali Quotes on Knowledge (Radiallahu Anhu)

Insan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida He Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghusse Ki Halat Main Dekho.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Insaan Apni Touheen Maaf To Kar Sakta Hai Par Bhool Nahi Sakta.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

beautiful shrine of hazrat ali the fourth khalifa of prophet muhammad located in najaf ashraf

Na Insaan Apni Marzi Se Paida Hua Aur Na Apni Marzi Se Marega. Phir Wo Inke Beech Ka Arsa Apni Marzi Se Kyun Guzarna Chahta Hai ??
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Insan ke Aansu Us Waqt Muqaddas Hote Hai, Jab Wo Kisi Aur Ki Takleef Mehsus Kar Ke Nikle.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Duniya Me Kabhi Kisi Acche Insan Ko Talaash Mat Karo, Balki Khud Acche Ban Jao. Ho Sakta Hai Ki Tumhare Is Amal Se Kisi Aur Ki Talaash Khatam Ho Jaye.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Insan Ka Fuzool Shauq Me Waqt Kho Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ki ALLAH Us Se Naraz Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Agar Tum Pahaad Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Agar Kisi ka Zarf Aazmana ho to use Zyada Izzat Do, Wo Aala Zarf Hua to Aap ko aur Zyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Wo Log kisi k Nhi hoty Jo Dost or Rishty ko"Libas" ki tarha badlty hain.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe. Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Bura Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Apke Haath Kale Kar Dega.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Khaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Dost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Mujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

3 Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai.
Budhape Mein Aulaad,
Musibat Mein Dost
Aur Ghurbat Me Biwi.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Insan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Musibat Me Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Kaunsa Dost Chhod Ke Jayega.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Hargiz Aise Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Karo Jo Tumhari Buraiyon Ko Yaad Rakhe Aur Khoobiyon Ko Bhool Jaye.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Jahan Sadqat Aur Khuloos Nazar Aaye Waha Dosti Ka Haath Badhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Behtareen Saathi Hai.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Dosti Ki Zeenat Ek Doosre Ki Baat Ko Bardasht Karna Hai. Be-Aib Dost Talaash Mat Karo Warna Akele Reh Jaoge.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Lambi Dosti Ke Liye Do Cheezon Par Amal Karo. Apne Dost Se Gusse Me Baat Mat Karo Aur Apne Dost Ki Gusse Me Kahi Hui Baat Dil Pe Mat Lo.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Tum Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Apno ko Hamesha Apne Hone ka Ehsaas Dilate Raho warna Waqt Aapke Apno Ko Aap ke Bina Jeena Sikha Dega.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Pucha Gaya 'Dunia Ka Sab Se Ameer (Rich) Shakhs Kaun he ?
Jawab Mila, 'Dunia Ka Ameer Shakhs Woh he Jis Ke Dost Mukhlis Hain. Duniya Usko Yateem Samajhti Hai Jiske Maa Baap Na Ho, Lekin Main Yateem Usko Samajhta Hoon Jiske Acche Dost Na Ho.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Lakhon Ko Dost Banana Koi Badi Baat Nahi, Badi Baat Yeh Hai Ki Aisa Dost Banao Jo Tumhara Sath Us Waqt De Jab Lakhon Tumhare Dushman Ho.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Jab Bhi Farig Waqt Mile To Apni Maa Ke Paas Ja Ke Baitha Karo, Kyunki Maa Ke Saath Guzara Hua Waqt Qayamat Ke Din Nijat Ka Baa'is Banega.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Kabhi Apne Dost ki Sacchai ka Imtehan na lo, Kya Pata Us Waqt wo Majboor ho aur Tum Ek Accha Dost kho Baitho.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

imam ali ibn abu talib shrine, the lion of islam located in najaf ashraf, iraq

Agar Koi Accha Lage To Us Se Kam Mila Karo, Agar Koi Zyada Accha Lage To Us Se Sirf Dekha Karo Aur Agar Koi Dil Me Utar Jaye To Use Sirf Yaad Kiya Karo.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

4 Khaleefa ke 4 Aqwal:
"Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar k Bhool jaye".
(Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Maut ko humesha Yad rakho, magr Maut ki Arzoo kabhi na karo."
(Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Insan Zuban k parde me Chupa ha"
(Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Humesha Such bolo ta k Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare"
(Maula e Kainaat Maula Ali Radiallahu Ta'ala Anhu)

Sab Se Badi Bahaduri Sabr Karna Hai.
Sab Se Badi Bala Na Umeedi Hai
Sab Se Badi Tafreeh Masrufiyat
Sab Se Bada Ustad Tajruba
Sab Bada Faida Naik Aulad
Sab Bada Tohfa Dar Guzar Karna
Sab Bada Sarmaya Khud Etmadi
Aur
Sab Se Bada Raaz Maut Hai ...!
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Gareeb Ki Madad Karo, Uska Dil Na Dukhao, Aur Uska Ehsas Karo. Kyu K Ghareeb Hone Mein Zyada Waqt Nai Lagta ..!
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Kisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho, Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Me Ghuroor Ka Beej Bo De.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Ho Sakta Hai Wo Tumhe Aise Chahta Ho Jaise Marne Wala Zindagi.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Log Dukh Nahi Dete, Logon Se Waabasta Umeedein Dukh Deti Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Akhlaq Aik Dukan Hai, Aur Zuban Uska Tala, Tala Khulta Hai To Pata Chalta Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Ko'aly (Koila) Ki...
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Akhlaaq Ki Keemat Kuch Nahi Deni Padti Hai. Magar Us Se Har Cheez Khareedi Ja Sakti Hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao..
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Apne Din Ka Aaghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Radd Nahi Ki Jayegi Aur Acchi Baat Batana Bhi Sadqa Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Agar Log Namaz-e-Fajr Ka Sawab Aur Fazeelat Ko Jaan Le To Raat Ko Is Khauf Se Sona Chhod Denge Ki Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Choot Jaye.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

NAMAZ ki Fikr Apne Upar Farz Karlo, Khuda Ki Qasam Duniya Ki Fikr Se Azad Hojaoge Aur Kamyabi Tumhare QADAM Choomegi.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Apna Behatreen Waqt Namaz Ke Liye Muqarrar Kar Do, Kyunki Tumhare Sab Kaam Tumhari Namaz Ke Baa'is Qubool Honge.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Aye Insan Agar Tujhe Yeh Maloom Ho Jaye Ki Sajde Ke Dauran Tujh Par Kitni Rehmatein Nazil Hoti Hai To Tu Kabhi Sajde Se Sar Uthayega Hi Nahi.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Apni Kismat Pe Wo Rota Hai Jo Sajde Me Nahi Rota.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Namaz Padhne Ke Dauran Tumhari Kaifiyat In Do Me Se Ek Honi Chahiye. (TUM ALLAH KO DEKH RAHE HO YA PHIR ALLAH TUMHE DEKH RAHA HAI)
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Duniya Me Char Dafa Waqt Ruk Gaya Tha…
Jab Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Mairaj Par Gaye The.
Jab Hazrat Bilal Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Azan Nahi Di Thi.
Jab Bibi fatima-tuz-Zehra Radiallahu Ta’ala Anha ke Sir Se Dupatta Saraq Gaya Tha Aur Do Baal Nazar Aa Rahe The.
Jab Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Ki Namaz Qaza Ho Gayi Thi.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Jab Log Kisi Ko Pasand Karty Hain To Uski Buraiyan Bhol Jatay Hain Aur Jab Kisi Say Nafrat Karty Hain To Uski Achaiyan Bhool Jatay Hain.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Nafrat Gunah Se Karo, Gunah Karne Wale Se Nahi. Shayad! Tumhari Mohabbat Me Aa Kar Wo Gunah Karna Hi Chhod De.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Wo Gunah Jis Ka Tumhe Ranj Ho, ALLAH Ke Nazdeeq Us Neki Se Behtar Hai Jis Se Tum Me Ghuroor Paida Ho Jaye.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Gunaah Jawaan Ka Bad Hai Magar Budhe Ka Badtar.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Logon k Dilon Mein Apna Maqam is Tarah Bana Lo K Mar Jao to Tumhare Liye Royain or Zinda Ho To Tumhen Milna Pasand Karein.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Kisi Ke Khuloos Aur Pyar Ko Uski Bewakoofi Mat Samjho, Warna Kisi Din Tum Khuloos Aur Pyar Talaash Karoge Aur Log Tumhe Bewakoof Samjhenge.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

imam ali quotes, islamic images, hd images, shrine of hazrat ali, possitive quotes

Koi Tumse Bhalai Ki Umeed Rakhe To Use Mayus Mat Karo, Kyunki Logon Ki Zaruraton Ka Tumse Waabasta Hona Tum Par Allah Ki Inayat Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Jo Shakhs Hamesha Tumhara Bhala Chahe, Uska Udas Hona Tumhare Liye Fikr Ki Baat Hai.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Koi GUNAH Lazzat k liye mat karna q k Lazzat khatam ho jayegi GUNAH baqi rah jaega, aur koi NEKI taklif ki waja se mat chodna q k taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjayegi !
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Tanhai Me Gunaah Se Bacho, Kyunki Iska Gawah Khud Allah'taala Hota Hai.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Ibn-e-Aadam! Jab Gunahon ke Bawajood Allah ke Naimatain Musalsal Tujhe Milti Rahe to Hoshiyaar ho Jana, Ke Tera Hisaab Qareeb aur Sakht Tareen Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Jisne Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki Usne Usse Sawar Diya aur Jis ne Kisi Ko Sab Ke Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazeed Bigaad Diya.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Log Pyar Ke Liye Hote Hai Aur Cheezein Istemaal Ke Liye. Baat Us Waqt Bigadti Hai Jab Cheezon Se Pyaar Aur Logon Ko Istmaal Kiya Jaye.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Aitbaar Aur Pyar Do Aise Parindey Hai Agar In Me Se Ek Udd Jaye To Doosra Khud Hi Udd Jata Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Par Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Agar Dost Banana Tumhari Kamzori Hai To Tum Duniya Ke Sabse Taqtwar Insaan ho.
- Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radiallahu Anhu)

Yeh Duniya Kitni Ajeeb Hai Imaandar Ko Bewaqoof, Be-Imaan Ko Aqalmand, Aur Behaya Ko Khoobsurat Kehti Hai.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Agar Duniya Me Sukoon Hota To ALLAH Ko Kaun Yaad Karta. Sukoon To Sirf Unlogon Ke Paas Hai Jo ALLAH Ki Raza Ko Apni Raza Samajhte Hai.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Koshish Karo Ki Tum Duniya Me Raho, Duniya Tum Me Na Rahe. Kyunki Kashti Jab Tak Pani Me Rehti Hai, Khoob Terti Hai. Lekin Jab Pani Kashti Me Aa Jata Hai To Wo Doob Jati Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Duniya Mein Behtreen Insaan Wo Hai Jiske Liye Koi Roye Aur Badtareen Insaan Wo Hai Jiski Wajah Se Koi Roye.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Agar Tumhain Yaqeen Ho Jaye ke Tumhara Rizq ALLAH K Paas Hai to Phir Rizq Ki Nahi ALLAH ki Talash Karo Jis K Paas Tumhara Rizq Hai.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Rizq Ke Peeche Apna Imaan Kharab Mat Karo. Kyunki Naseeb Ka Rizq Insaan Ko Aise Talaash Karta Hai Jaise Marne Wale Ko Maut.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Din Ko Rizq Talaash Karo Aur Raat Ko Use Talaash Karo Jo Tumhe Rizq Deta Hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Agar Rizq Aqal-o-Danish Se Milta To Jaanwar Aur Bewakoof Zinda Hi Na Rehte.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Agar tum kisi ko dhokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Jhoothe Ki Sabse Badi Saza Yeh Hai Ki Uske Sach Ka Bhi Aitbaar Koi Nahi Karte.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

ALLAH ke Nazdeek Sabse Zyada Gunahgar Cheez Jhoot Bolne Wali Zaban Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Tumhara Nafs Bohot Keemti Hai. Ise Jannat Se Kam Kisi Keemat Pe Mat Bechna.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Tumhare Nafs ki Keemat Jannat he Apne Nafs Ko Kabhi isse Kam Keemat Main Na Bechna.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Jab Aankhein Nafs ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjaam Se Andha Ho Jata hai.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Kisi ko Tum Chaho Aur Woh Tumhe Thukra De To Yeh Uski Badnaseebi hai. Aur Agar Koi Tumhe Na Chahe aur Tum Use Zabardasti Apna Banana Chaho To yeh Tumhare Nafs Ki Zillat Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

shrine of 4 khalifa of prophet muhammad hazrat ali ibn abu talib r.a located at najaf ashraf, iraq

Great Words :-
1 Khalis Dosti Ek Accha Rishta Hai.
2 Agar Tum Badshah ho Tab Bhi Apne Walid or Ustad Ke Taazeem k Liye Khade Ho Jao.
3 Na Umeedi Se Rooh Mar Jati Hai.
4 Zuban Esa Darinda Hai Jise Agar Khula Chod Diya Jaye To Phaad khaye.
5 Neki Ka Iradah Hashra Ki Aag ko Bujata Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Zindagi Ustaad Se Bhi Zyada Sakht Hoti Hai, Ustad Sabaq De Kar Imtehan Leta Hai Aur Zindagi Imtehan Le Kar Sabaq Deti Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Insaan Ka Kirdaar Uski Zaban Ke Neeche Dafan Hota Hai. Agar Kisi Shakhs Ke Kirdaar Ka Pata Lagana Ho To Use Sakht Gusse Ki Haalat Me Dekho.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

5 Cheezon ki 5 Jagah Par Hifazat Karo:
1-Mehfil Me Zaban Ki
2-Bazar Me Aankh Ki.
3-Namaz Me Dil Ki
4-Dastarkhan Par Pet Ki.
5-Nigah Me Haya Ki
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Jab Insaan Narazgi Khatam Karne Me Pehl Karta Hai To Iska Yeh Matlab Nahi Ki Wo Ghalat Tha, Iska Matlab Hai Ki Use Aan Se Zyada Rishta Aziz Hai.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Hamesha Apni Choti Choti Ghaltiyon se Bachne ki Koshish karo, kyunki Insaan Pahadon se Nahi Balki Chote Chote Pattharon se Thokar Khata Hai.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Tumhari Niyyat ki Aazmaish us Waqt hoti hai? Jab tum kisi aise Insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Insaan Ko Acchi Niyyat Pe Wo Inaam Milta Hai, Jo Use Acche Aamal Par Bhi Nahi Milta.
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Agar Tumhe Ek Doosre Ki Niyyaton Ka Pata Chal Jaye, To Tum Ek Doosre Ko Dafnana Hi Chhod Doge.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

A Wise Man First Thinks and Then Speaks and a Fool Speaks First and then Thinks.
- Imam Ali Quotes on Knowledge (Radiallahu Anhu)

Jab Main Dastarkhan Par Do Rang Ke Khane Dekhta Hoon to Main Mayus Ho Jata Hoon ki Aaj Phir kisi ka HAQ Mara Gaya.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Pareshani Khamosh Hone Se Kam, Sabr Karne Se Khatam Aur Shukr Karne Se Khushi Me Badal Jati Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Sabr Ki Do Surtein Hai. Jo Na-Pasand Ho Use Bardasht Karna Aur Jo Pasand Ho Uska Intezar Karna.
- Sayings of Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

Kabhi Bhi Apni Jismaani Taaqat Aur Daulat Par Bharosa Na Karna Kyunki Bimaari Aur Ghurbat Aane Me Der Nahi Lagti.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Tum Gulaab Ka Phool Ban Jao, Kyunki Yeh Phool Uske Haathon Me Bhi Khushboo Chhod Jata Hai Jo Ise Masal Kar Phenk Deta Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Momin Woh Nahi Jiski MEHFIL Paak Hai, Momin Woh Hai Jiski TANHAI Paak Hai.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Agar Kisi Ko Yeh Ghuroor Ho Ki Wo Tumse Jitni Martaba Naraz Ho To Tum Use Mana Loge To Behtar Hai Tum Uska Ghuroor Tootne Na Do.
- Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

Jo Tumhe Khushi Me Yaad Aaye Samajhlo Tum Us Se Mohabbat Karte Ho. Aur Jo Tumko Gham Me Yaad Aaye Samajhlo Wo Tumse Mohabbat Karta Hai.
- Hazrat Ali AS Quotes (Radiallahu Anhu)

Jab Tum Kisi Se Mohabbat Karo To Us Se Zara Bhi Mohabbat Na Maango, Kyunki Tum Ne Mohabbat Ki Hai Tijarat Nahi.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Jo Apne Aap Ko Mohtaaj Banata Hai Wo Hamesha Mohtaaj Hi Rehta Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Azaadi Ki Hifazat Na Karne Wala Ghulami Me Giraftar Ho Jata Hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu

Lambi Umeedon Se Parhez Kiya Karo, Kyunki Yeh Doosri Neimaton Ko Tumhari Nazar Me Chota Bana Deti Hai Aur Tum Unki Shukr Guzari Nahi Karte.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Agar Tum Kisi Ko Chota Dekh Rahethe Ho To Tum Use Door Se Dekh Rahe Ho Ya Phir Ghuroor Se.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki: "Main Poori Zindagi Me Sirf Ek Raat Sukoon Se Soya Hoon".Poocha Gaya "Wo Kaunsi"? Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu ne farmaya: "Jis Din Huzur Alyhis-Salam Ne Farmaya Ki Aye Ali! Kal tumhe (Amanate) Maal-e-Ghanimat Taqseem Kar Ke Aana Hai. Kyunki Sirf Us Raat Mujhe Yaqeen Tha Ki Main Subha Zinda Uthunga"

maula ali, imam ali, hazrat ali quotes, online quotes, quotes about moving on, famous quotes in life

Kisi Ko Paane ki Tamanna Mat Karo, Balki is Qabil Ho jao Log Aapko Paane Ki Tamanna Kare..
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Agar Kisi Par Ehsaan Karo To Use Doosron Se Bhi Chupaya Karo.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

Tum Kala Libaas Mat Pehna Karo, Kyunki Beshak Yeh Fir’on Ka Libaas Hai.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Har Kisi Ko Itni Ehmiyat Do Jitni Wo Tumko Deta Hai. Agar Kam Doge Ghamandi Kehlaoge Aur Agar Zyada Doge Khud Ghir Jaoge.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

Mushkilat Hamesha Behtareen Logon Ke Hisse Me Aate Hai. Kyunki Wo Usko Behatreen Tareeqe Se Anjaam Dene Ki Salahiyat Rakhte Hai.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

Kisi Se Mohabbat Karne Se Pehle Apne Dil Me Qabristan Banalo, Ta Ki Uski Choti Choti Ghaltiyon Ko Dafna Sako.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai...
» Uss Waqt Tak Koi Faisla Na Karo Jab Tak Tumhare Khoon Ki Gardish Aur Dil Ke Dharkan Pur-Sukuun Na Ho Jaye.
» Jisne Tujhe Tere Aib Bataye Agar Tujhe Aqal Ho Tou Beshak Usne Tujh Par Ehsaan Ki Inteha Kardi.
» Insan Ka Apne Dushman Se Inteqam Ka Sab Se Accha Tarika Ye Hai Ki Wo Apni Khubiyo Me Izafa Kare.
» Jo Shakhs Tumhara Ghussa Bardasht Kar Le Aur Sabit Qadam Rahe, Wohi Tumhara Sacha Dost Hai.

Kisi Per Ehsan Karo Tou Uss Ko Chupao Agar Tum Per Koi Ehsan Kare Tou Usey Jahir Karo.
- Hazrat Ali AS Quotes (Radiallahu Anhu)

‘Gunaho Se Taubah Ka Faida Ye Hai Ki Sazaa Se Najat Milti Hai,
Buri Aadato Se Paak Hone Ka Faida Ye Hai Ki Jannat Aur Usme Unche Darjat Milte Hai.
Mehboob (Huzoor) Ki Khushi Ke Sath Nazdiki Ka Faida Ye Hai Ki Khusi Ke Sath Allah Ta’ala Ke Didar Ki KhushKhabri Milti Hai, Farishto Ki Ziyarat Ka Mauka Milta Hai, Buzurgi Me Barkat Hoti Hai”
– (Tohfa-e-Najat, Part-9 Page-87)

Boori Aadat Ki Taaqat Ka Andaza Tab Hota Hai Jub Usey Chodney Ki Koshish Ki Jaati Hai.
- Imam Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

“Agar Log Subah Ki Namaz Ka Sawaab Aur Fazilat Ko Jaan Len Tou Raat Ko Iss Darr Se Sona Chhorh De Ke Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Reh Jaye.”
- Islamic Quotes by Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai Ke :
“Jab Tumhe Mehsoos Ho Ke Tumhari Tabiyat Ko Zikr-e-Khuda Se Mohabbat Ho Gayi Hai, Tou Jaan Jao Woh (Allah Ta’ala) Tumhe Pasand Karta Hai”.

(Aye Ibne Aadam!) Zaahir Par Na Ja! Aag Dekhne Me Surkh(Lal) Lagti Hai Par Uska Jalaya Hua Sia Ho Jata Hai, Pus Duniya Bazaahir Khubsurat Aur Uska Jalaya Hua Badd’surat Hai.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsoos Karo Tou Apne Rabb Ki Bargaah Me Taubah Karo, Kyun Ke Insan Ke Gunaah Hii Hai Jo Dil Ko Bechain Rakhte Hain.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu) Se Pucha Gaya Ke Allah Qayamat Ke Din Ek (1) Hee Waqt Saari Kainaat Se Hisaab Kaise Lega ?
Hazrate Ali (Radi’Allahu Anhu) Ne Farmaya – Jaise 1 Hee Waqt Me Saari Kainaat Ko Rizq De Raha Hai.

Jiski Nigahain Azad Ho Uss Ka Dil Ranjeeda Hota Hai, Jo Baar Baar Azadaana Nigaah Karta Hai Wo Hamesha Hasrato Me Mubtla Rehta Hai.
- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)

“Soorat” Aur “Seerat” Me Sab Se Bada Farq Yeh He Ke Soorat “Dhoka” Deti He Jab Ke Seerat “Pehchaan” Karaati He.
- Hazrat Ali Sayings (Radiallahu Anhu)

Jo ‘Khuda’ Ko Naraaz Kar Ke Logo’n Ki Khush-Nudi Haasil Karna Chaahey Tou ‘Khuda’ Uss Ko Logo’n Par Hi Chod Deta Hai.
- Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

(Aye Ibne Aadam)! Ilm Haasil Kar, Ilm Dil Ko Roshni Deta Hai, Doulat Ki Laalach Se Bach, Doulat Ki Laalach Andha Bana Deti Hai.
- Imam Ali Quotes on Knowledge (Radiallahu Anhu)

Doosron K "Mahel" Mein Gulami Karne Se Behtar Hai K Insan Apni Jhonpdi Main Hukumat Kare.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Insaniyat Bahot Bada Khazana Hai Usey "Libaas" Mein Nahi "Insan" Mein Talash Karo.

- Hazrat Ali Quotes (Radiallahu Anhu)


Related

ahadith 1533492319462464084

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item