Mout Se Qabr Tak Masoomeen Hadith

Mout Se Qabr Tak Masoomeen Hadith MAUT SE QABR TAK (HADITH) MAUT SE QABR TAK (APPROX 100 SELECTED HADITH - DO NOT MISS EVEN A SINGLE ON...


Mout Se Qabr Tak Masoomeen Hadith



MAUT SE QABR TAK (HADITH)
MAUT SE QABR TAK
(APPROX 100 SELECTED HADITH
- DO NOT MISS EVEN A SINGLE ONE)
1. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se koi shakhs kabhi maut ki tamanna
na kare balke yu'n kahe,
"Ya Allah! Mujhe oos waqt tak zinda rakh jab
tak zindagi mere liye behtar hai aur mujhe oos
waqt maut de jab maut mere liye behtar ho".
(Wasaail Ush Shia, v2, p127)
2. Rasule Khuda (saww):
se ek shakhs ne kaha ke kya wajah hai ke
mujhe Maut se nafrat hai?
Aap ne farmaya, "Kya tere paas maal o daulat
hai?"
Usne ne kaha, "Jee haa'n."
Aap ne farmaya, "Maal o Daulat Allah ki raah
mein kharch kar ke aage bhej de."
Usne kaha, "Main aisa nahi kar sakta."
Aap ne farmaya, "Insaan ka dil Maal o Daulat ke
saath hota hai. Agar daulat ko insaan aage
rawana kar de to wo khud bhi aage jaana
pasand karta hai, aur agar Maal o Daulat duniya
mein apne paas rakhe to uska dil duniya
chhorne par taiyar nahi hota."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p145)
3. INSAAN KA APNE LIYE MAUT KI KHWAAISH
KARNA MAKROOH HAI
Riwaayat:
Ek baar H. Rasule Khuda (saww) ek beemar ki
mizaaj pursi ke liye tashreef le gaye.
Usne (apne beemari se dil bardaashta ho kar)
marne ki khwaaish zaahir ki.
Aap (saww) ne farmaya, "Maut ki khwaaish na
kar, kyun ki agar tu neku-kaar hai to mazeed
zinda rehne se teri nekiyo'n mein izafa hoga aur
agar tu gunaah-gaar hai to tujhe is taakhir se
Khuda ko raazi karne ka mauqa milega. (Beher
haal) Maut ki khwaaish na kiya karo".
(Wasaail ush Shia, v2, p127)
4. Imam Sadiq (as)
se ek shakhs ne kaha, "Main zindagi se ukta
gaya (kantaal gaya) hoon, main Allah se Maut ki
tamanna karta hoon."
Imam (as) ne farmaya, "Zindagi ki qeemat ye
hai ke tum ita'at karo aur na-farmani na karo.
Lihaza, agar tum zinda raho aur ita'at karo to ye
tumhare liye Maut se behtar hai jisme tum na to
ita'at kar sakte ho aur na hi na-farmani kar
sakte ho."
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p28)
5. SUICIDE
i)Imam Baqir (as):
Momin har balaa mein mubtela hota hai aur har
tarah ki maut marta hai lekin wo khud-kushi
(suicide) nahi karta.
(Furoo e Kafi, v1, p270)
ii)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs khud amadan (jaan bujh kar) apne ko
qatl kar le (suicide kar le) to wo Jahannum mein
hamesha hamesha ke liye jayega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p62)
iii)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs khudkushi (Suicide) karega wo
Jahannum mein HAMESHA ke liye rahega.
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)
6. WASIYYAT
i)Imam Sadiq (as):
Jab kisi marne waale ki maut ka waqt aata hai
to Khuda wande Aalam uski aql aur sun'ne aur
dekhne ki quwwat ko wasiyyat karne ke liye
lauta deta hai. Ab uski marzi par munhasir hai
ke wasiyyat kare ya na kare. Yehi wo raahat hai
jise Raahat ul Maut kaha jaata hai. Ye har
musalmaan par laazim hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p124)
ii)Riwaayat:
Khuda wande Aalam farmata hai, "Aye Farzand
e Adam! Maine tujh par 3 ehsaan kiye hain:
1) Maine tere gunaaho'n par parda daala hai
agar tere ghar waalo'n ko unka pataa chal jaata
to tujhe dafn na karte,
2) Maine tujhe Rizq e wasi ataa kiya aur phir
tujh se qarz maanga magar tu ne koi bhalaai
aage na bheji,
3) Maine tujhe maut ke waqt 1/3rd maal mein
wasiyyat karne ki mohlat di magar tu ne aage
koi khairaat na bheji.
(Wasaail ush Shia, v2, p125)
iii)Imam Ali (as):
Jo shakhs (apne maal ke baare mein) is tarah
wasiyyat kar jaaye ke na kisi (waaris) par jafaa
kare aur na hi kisi ko nuksaan pahunchaaye to
wo aisa samjha jayega ke jaise zindagi mein
apna maal sadqa de diya.
(Wasaail ush Shia, v2, p125)
7. SADQA
i)Rasule Khuda (saww):
Ek shakhs ka apni zindagi mein EK chandi ka
sikka khairat mein dena maut ke waqt 100 sikke
dene se behtar hai.
(Uddatud Daai)
ii)Imam Ali Reza (as):
"Sadqah baraee (hatman) maut ko rok deta
hai ."
(Behar ul Anwar Vol 5, pg 479)
8. MARNE WALE SE KYA DOHRAYA JAAYE
i)Imam Sadiq (as):
Jab tum kisi marne waale ke paas jao to usay
Shahadatain ki Talqeen karo, yaani LA ILAAHA
ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA LA, WA
'ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASULOH
padhao.
(Wasaail ush Shia, v2, p130)
ii)Rasule Khuda (saww):
Marne wale se LA ILAHA ILLALLAH dohrane
kaho, kyun ki jiske aakhri alfaaz LAA ILAAHA
ILLALLAH hoge, wo Jannat mein jayega.
(Rules Relating to the Deceased)
iii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs bhi mujh par Zyada SALWAAT bhejta
hai wo Maut ki kadwaahat aur jaan nikalne ki
takleef se mehfuuz rahega.
(Fazaael e Salwaat)
9. MARNE WAALE KO KAHAA'N AUR KAISE
SULANA CHAHIYE
i)Riwaayat:
Jab marne waale ki jaa'n-kani sakht ho jaaye to
usay oos jagah muntaqil (transfer) karo jahaa'n
wo Namaz padhta tha ya uski jaaye-Namaz
(musalle) par rakho jis par Namaz padhta tha.
(Wasaail ush Shia, v2, p136)
ii)Imam Sadiq (as) :
Jab kisi par Niz'a (dum nikalne ka) waqt sakht
ho to usay oos jagah muntaqil (transfer) kar do
jahaa'n wo Namaz padhaa karta tha.
(Furoo e Kafi, v1, p277)
iii)Rasule Khuda (saww):
Marne wale ko ru-ba-qibla (Qibla-rukh) karo
(uska chehra aur dono qadmo'n ke talwe Qible
ki taraf kiye jaayein). Jab aisa karoge to
Malaika uski taraf mutawajjeh honge aur Khuda
bhi uski taraf mutawajjeh hoga (uspar Rehmat
naazil karega) aur jab tak uski Ruuh qabz na ho
jaaye wo barabar usi haalat mein rahe (taaki
Khuda aur Uske Malaaika ki tawajjoh ka markaz
bana rahe)
(Wasaail ush Shia, v2, p130)
10. TAHAARAT
Rasule Khuda (saww):
Agar ho sakey to din raat paak aur taahir raho;
agar tum is haalat mein (tahaarat, wuzoo ke
saath) MAR gaye to tum SHAHEED ki maut
maroge.
(Amaali - Shaikh Mufeed, p112)
11. NAJAASAT
Imam Sajjad (as):
Koi zee Ruuh (jaan-dar / living creature) nahi'n
marta jab tak wo Nutfa khaarij na ho jis se wo
paida huwa hai, chaahe wo mu'nh se nikle ya
kahi'n aur se.
(Furoo e Kafi, v1, p298)
12. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se koi shakhs oos waqt tak na mare
jab tak Khuda e Azz wa Jall ke baare mein Husn
e Zann (positive opinion) na rakkhe, kyun ki
Khuda ke (Afwo Safh aur Uske Rehm o Karam
ke) mutalliq Husn e Zann rakhna Jannat ki
qeemat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p126)
13. ROOH NIKALNE KI TAKLEEF AUR SHIDDAT
Imam Sadiq (as):
Ek martaba H. Isa (as) ne H. Yahya (as) ki qabr
pe aakar unko zinda kiya aur kaha ke 'Main
chaahta hoon ke tum Tableegh mein meri
madad karo'.
H. Yahya (as) ne jawab diya 'Jaa'n kani (Dum
nikalne) ki shiddat aur takleef main ABHI TAK
NAHI bhoola. Tum mujhe phir oosi takleef mein
mubtela karna chaahte ho?'
(Roohul Hayaat)
14. MOMIN KI MAUT KI NISHANIYA’N
i)Imam Sadiq (as):
Maut ke waqt Momin ki zabaan bund ho jaati
hai (bargaah e Ilaahi mein haazri ke khauf se).
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p97)
ii)Imam Baqir (as):
Momin ki nishaani ye hai ke jab uski Maut ka
waqt aata hai to uske chehre ka rang jita sufaid
tha oos se zyada sufaid aur raushan ho jaata
hai, pehsaani par paseena aane lagta hai, uski
aankho’n se aansuo’n ki tarah rutubat behne
lagti hai; to yehi uski Ruuh nikalne ki nishaani
hai…
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p100)
15. SHAITAAN KI KOSHISH
Imam Sadiq (as):
Jab koi bhi shakhs marne lagta hai to Iblees
La'een apne Shaitaano'n mein se kisi Shaitaan
ko muqarrar kar deta hai jo marne waale ko
kaafir ban'ne aur Deen o Imaan mein shak karne
ki raghbat dilata hai. Aur ye silsila uski Ruuh
nikalne tak barabar jaari rehta hai. Pus jo
shakhs Momin hota hai pus uspar Shaitaan
tasallut haasil nahi kar sakta, is liye jab tum
marne waalo'n ke paas jaao to unhe marte dum
tak Shahadat e Tauheed aur Risaalat ki talqeen
kiya karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p130)
16. MOMIN MAUT SE PEHLE JANNAT MEIN
APNI JAGAH DEKHTA HAI
i)Imam Sadiq (as):
Jab MOMIN ki jaan uske galey mein jaa-kar atak
jaati hai to wo Jannat mein apna maqaam dekh
leta hai aur kehta hai, “Zara mujhe chhoro, jo
kuchh maine dekha hai wo apne ghar waalo’n ko
bataa doo’n”. To oos se kaha jaata hai ke iski
koi sabeel (gunjaaish) nahi.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p101)
ii)Imam Sadiq (as):
MOMIN is duniya se apni marzi ke baghair
kooch (depart) nahi karta aur ye is tarah ke
Allah Ta’ala uske saamne se pardey uthha deta
hai yahaa’n tak ke wo Jannat mein apni jagah
aur jo kuchh Allah Ta’ala ne uske liye wahaa’n
faraham kar rakha hai usay dekh leta hai. Aur
phir Duniya ko bhi uske liye behtareen taur par
aarasta kar (sajaa) ke pesh karta hai aur usay
ikhtiyaar hai ke oon dono mein se jise chaahe
apne liye muntakhab (select) kare. To wo apne
liye wo muntakhab karta hai jo Allah Ta’ala ne
faraham kiya huwa hai aur kehta hai ke main is
duniya aur uski balaao’n aur musibato’n mein
reh kar kya karunga…
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p99)
17. BUUDH KE DIN MAUT
Imam Ali (as):
Jo Momin Buudh (Wednesday) ke din mare to
Allah usay Aakherat ke nuksaan se mehfooz
rakhega aur usay Apni pados ki sa'adat naseeb
karega aur Apne fazl se usay umda rihaaish
(ghar) ataa karega, jahaa'n usay kisi tarah ki
mashaqqat aur susti ka saamna nahi karna
padega.
(Tafseer Noor us Saqlai n, v7, p152)
18. MALEKUL MAUT
i)Imam Sadiq (as):
Jab kisi ke marne ka waqt aata hai to Malekul
Maut usay tasalli dete hain…
(Furoo e Kafi, v1, p349)
ii)Imam Sadiq (as):
Malekul Maut auqaat e Namaz ke waqt 5 baar
logo'n ko gaur se dekhta hai, pus jo shakhs
hamesha paabandi e waqt se Namaz padhta hai
to Malekul Maut usay marte waqt Tauheed aur
Risaalat ki Talqeen karta hai aur Shaitaan ko
uske paas se duur karta hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p131)
iii)Imam Sadiq (as):
se Abu Baseer ne poochha, "Malekul Maut oos
shakhs ko jaante hain jiski Ruuh qabz karna hoti
hai?" Aap ne farmaya, "Nahi, aasmaan se ek
tehreer (written note) aati hai ke fulaa'n fulaa'n
ki Ruuh qabz karo".
(Furoo e Kafi, v1, p352)
iv)Imam Sadiq (as):
Ek martaba Malekul Maut se puchha gaya ke
kuchh log maghrib (west) mein hote hain aur
kuchh log mashriq (east) mein, to tum oon sab
ki arwaah (ruuh) ek hi waqt mein kaise qabz
karte ho? Unhone jawaab mein kaha, “Main oon
sab (arwaah) ko pukarta hoon, wo mere paas aa
jaati hai. Ye saari duniya mere saamne aisi hai
jaise tum logo’n mein se kisi ke saamne ek
pyaala ho jis se wo jo chaahta hai khaata hai;
aur ye duniya mere nazdeek aisi hai jaise tum
logo’n mein se kisi ke haath mein ek dirham
(coin) ho ke jaise chaahe usko ulte palte".
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p99)
V)Imam Baqir (as):
Malekul Maut ki nigaah karne ki soorat ye hai ke
jaise log baithe ho'n aur unhe saktah (laqwah /
paralysis) ho jaaye aur wo baat karne ke qaabil
na rahein. Ye haalat hoti hai jab Malekul Maut
unko dekhta hai.
(Furoo e Kafi, v1, p354)
19. MAHE RAJAB
i)Riwaayat:
Jo shakhs Surah Yaseen ko sone se pehle
padhe aur Namaz e Lailatul Raghaib padhe wo
wehshat e qabr se mehfooz rahega. (Ye Namaz
maah e Rajab ki pehli shab e Juma ko Maghrib
aur Isha ke darmiyaan padhi jaati hai aur iska
tariqa Mafaati wagairah meinmaujood hai)
(Manazilul Aakkhira, p47)
ii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs 7th Rajab ki shab ko 4 rakaat Namaz
is tarah padhe ke har rakaat mein Surah Fatiha
ke baad 3 baar Surah Tauheed, aur ek ek baar
Surah Falaq aur Surah Naas padhe. Namaz ke
baad Salwaat aur Tasbeehaat e Arba 10 - 10
martaba padhe, to Khallaq e Aalam usay Arsh
ke saaye mein jagah dega aur Maah e Ramzaan
ke rozadaar ke mutabiq sawaab ataa karega.
Aur Namaaz poori hone tak Malaika uske liye
Astaghfaar karte rahenge aur uske liye Sakraat
e Maut ko aasaan aur Fishaar e Qabr duur
farmayega aur wo duniya se oos waqt tak nahi
uthhega jab tak wo Jannat mein apni jagah apni
aankho'n se na dekh le aur wo Mehshar ki
sakhti se mehfooz rahega.
(Manazilul Aakherah, p31)
iii)Riwaayat:
24th Rajab ko Roza rakhne ka azeem sawaab
hai. Usme se ek ye hai ke uske paas Malekul
Maut khubsoorat aur paakiza libaas mein
malboos jawaan ki shakl mein Sharaab e Tahoor
(Pure Drink) ka jaam haath mein liye Ruuh qabz
karne aayega aur wo sharaab e Jannat se
labrez jaam waqt e sakraat mein peene ke liye
dega taake sakraat e maut uspar aasaan ho.
(Manazilul Aakkhira, p31)
iv)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Maah e Rajab ke aakhri din Roza
rakhega Haq Ta'ala usay sakraat e maut ke
baad ke khauf se mehfooz rakhega.
(Manazilul Aakkhira, p31)
20. JO JUMERAAT YA JUMA KI DIN MARTA
HAI…
i)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Jumeraat ke zawaal e aaftab se lekar
roz e Juma ke zawaal e aaftaab ke darmiyaan
marega, wo fishaar e qabr se mehfooz rahega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)
ii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs roz e Juma ya shab e Juma mein
marega, Allah Ta’ala oos se azaab e Qabr uthha
lega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)
iii)Rasule Khuda (saww):
Agar koi Shab e Juma ya Roz e Juma mein Mar
gaya to Shahadat ki maut marega aur aman o
amaan ke saath mehshoor hoga. Aur jo uske
haq aur hurmat ko zaya (waste) karega to Allah
par laazim hoga ke usay waasil e Jahannum
kare magar ye ke wo Tauba kare.
(Wasaail ush Shia, v5, p67)
iv)Imam Ali (as):
Juma ki raat badi raushan raat hai aur Juma ka
din bada raushan din hai aur jo shakhs Shab e
Juma ko ya Juma ke din Mare, uske liye
Jahannum se bara'at likh di jaati hai.
(Wasaail ush Shia, v5, p68)
V)Imam Baqir (as):
…Jo shakhs Juma ke din marta hai uske liye
Allah Ta’ala likh deta ke ye azaab e qabr se bari
hai aur jo shakhs Juma ke din marta hai wo
Jahannum se azaad hota hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)
21. ZAAIR E IMAM HUSAIN (as) KI FAZILAT
Imam Sadiq (as):
Jab Zaair Imam Husain (as) ki Ziyarat se
waapas hota hai aur agar oos saal ya oos raat
uski maut ho jaaye to khud KHUDA uski Ruuh
qabz karta hai.
(Al Muntazar, 1423)
22. MAUT AUR AHLEBAIT (as)
i)Riwaayat:
Imam Reza (as) ke as'haab mein se ek buzurg
haalat e jaa'n kani mein the ke hazrat unke
saraahne tashreef le gaye. Wo sahaabi sakraat
ki haalat mein aankh bund kiye huwe the. Ek
martaba arz kiya ke, "Is waqt J, Rasule Khuda
(saww), J. Ameerul Momeneen (as), J. Siddiqa
Tahira Fatima Zahra (sa), I. Hasan (as), I.
Husain (as) aur I. Musa Kazim (as) tak tamaam
Aimma e Tahereen (as) yahaa'n tashreef farma
hain aur main oon hazraat ki ziyarat se
musharraf ho raha hoo'n". Phir arz kiya, "Aqaa,
aap ki noorani soorat bhi maujood hai".
(Ma'ad, p38)
ii)Imam Sadiq (as):
Marne walo’n ki aankho’n mein marte waqt waqt
aansu aa jaate hain aur ye oos waqt hota hai
jab wo Rasule Khuda (saww) ko dekhta hai aur
wo kuchh dekhta hai jis se wo khush ho jaata
hai. Kya tum nahi dekhte ke jab insaan koi
bahut khush-haal baat dekhta hai aur jis se wo
mohabbat karta hai usay dekhta hai to uski
aankho’n mein aansu aa jaate hain aur wo
ha’nse lagta hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p100)
ii)Rasule Khuda (saww):
Meri aur mere khandaan ki mohabbat 7 jagah
par faida-mand hai jab ke har ek jagah par
sakht-tareen khauf hai:
1) Maut ke waqt,
2) Qabr mein,
3) Qabr se baahar nikalne ke waqt,
4) Naama e Aamal ke waqt,
5) Hisaab ke waqt,
6) Mizaan par, aur
7) Puul e Siraat par.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p19)
iv)Imam Ali (as):
Har shakhs waqt e niza mujhe dekhta hai aur
dekhega, chaahe wo Momin ho ya Kaafir.
(Ayatullah Dastghaib Shirazi wazaahat karte
hain ke Momeneen ke liye Imam Ali (as) ki
ziyarat ne'mat hai kyun ki Hazrat ke jamaal e
dilkash ka mushahida Momin ke liye har lazzat
se laziz-tar hai aur kaafir o munafiq ke liye
Hazrat (as) ka deedar qeher e Parwardigaar ka
mazhar hoga)
(Ma'ad, p38)
v)Imam Sadiq (as):
Imam Ali (as) ka dost-daar (chahne-wala) Imam
Ali (as) ki 3 maqaamat par Ziyarat karega aur
khush hoga:
1) Maut ke waqt,
2) Siraat par aur
3) Hauz e Kausar par.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p101)
23. MAYYAT KO FAURAN KYA KARE
Riwaayat:
Jab Imam Sadiq (as) ke bete Ismail ki maut ka
waqt qareeb aaya to Imam (as) unke paas
baithhe huwe the. Pus jab wo inteqaal kar gaye
to Imam (as) ne unke jabdo'n (jaws) ko baandh
diya, aankho'n ko bund kar diya aur unpar
chaadar daal di (ye sab karna mustahab hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p138)
24. KOI MAR JAAYE TO FAURAN SADQA
NIKAALE
Rasule Khuda (saww):
MAYYAT par Qabr mein PEHLI RAAT se zyaada
SAKHT ghadi koi aur Nahi hoti, lihaaza apne
Murdo'n par SADQE ke zariye Rahem karo.
(Manaazilul Aakhira, Pg. 45)
25. MAYYAT DAFNAANE MEIN JALDI KARE
i)Imam Ali (as):
Jab tak Mayyat mein GARMI baaqi hai, TOUCH
karne mein koi harj Nahi. Mayyat THANDA hone
par Gusle Mase Mayyat WAAJIB hoga.
(Bihaar ul Anwaar, Vol 8, Pg 285)
ii)Rasule Khuda (saww):
Mayyat ka ikraam aur ehteraam (honour &
respect) ye hai ke uske kafan o dafan mein jaldi
ki jaaye.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p103)
iii)Rasule Khuda (saww):
3 cheezo’n mein taakhir (delay) nahi ki jaa sakti:
1) Jab Namaaz ka waqt aa pahunche,
2) Jab Janaza le aaya jaaye,
3) Jab baaligah ko hum-sar mil jaaye (jab
jawaan ladki ko shaadi ke liye uski barabari ka
(laayak / yogya / worthy) ladka mil jaaye).
(Meezan ul Hikmah, v6, p109)
26. Imam Sadiq (as):
Mayyat ko kabhi tanha na chhoro, Shaitan uske
andar ghus-kar tarah tarah ki harkatein karta
hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p105)
27. GUSL E MAYYAT
i)Imam Reza (as):
Mayyat ko gusl dene ki (ek) wajah ye hai ke
murde ko bimaariyo'n ki gandagi se paak kiya
jaaye kyun ki murde ko Malaika aur Ahle
Aakherat se mulaaqat karni hoti hai isi liye usay
gusl diya jaata hai taake jab wo Allah ke huzoor
pesh ho aur Ahle Tahaarat Momeneen se uski
mulaqaat ho to wo unse musafeha karne ke
qaabil ban sakey aur paak o pakiza hokar Khuda
ke huzoor pesh ho sakey taake jab usay talab
kiya jaaye aur uski shafa'at ki jaaye to wo saaf
suthra ho.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p193)
ii)Imam Sadiq (as):
Hazrat Musa bin Imran (as) ne apne Rab se jo
munajatein ki unme ye bhi kaha ke,
“Parwardigaar, kisi mareez ki ayaadat (mulaqat)
ka ajr o sawaab kis hadd tak hai?”
To Allah Ta’ala ne irshad farmaya, “Main ek
Farishte to uske liye muqarrar kar doonga jo
Mehshar tak uski ayaadat karta rahega.”
Hazrat Musa (as) ne arz kiya, “Parwardigaar,
aur jo shakhs mayyat ko gusl de uske liye kya
hai?”
Allah Ta’ala ne farmaya, “MAIN usko gusl dekar
uske gunaaho’n se is tarah paak karunga ke jis
tarah wo apni maa ke peyt se paida hone ke din
paak tha.”
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p104)
iii)Imam Baqir (as):
Jo Mayyat ko Gusl de to haqq e amaanat adaa
kare, yaani mayyat ki jo haalat dekhe oos se kisi
ko aagah (bayaan) na kare.
(Furoo e Kafi, v1, p299)
iv)Imam Sadiq (as):
Mayyat ko Gusl dene ka sawaab ye hai ke Allah
oos ke gunaah is tarah dho deta hai jaise wo
batan e maadar (maa ke peyt) se paida huwa
ho.
(Furoo e Kafi, v1, p299)
V)Imam Sadiq (as):
Jo Momin kisi momin ki mayyat to gusl de aur
gusl dete waqt ye kahe RABBI AFWUKA AFWUK,
to Allah Ta’ala uske gunaah maaf kar dega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p104)
28. GUSL E MAS E MAYYAT KYUN?
Imam Baqir (as):
se sawaal huwa ke Gusl e Mayyat kis wajah se
kiya jaata hai aur gusl dene wala kyun gusl
(mas e mayyat) karta hai? Aap ne farmaya,
"Jahaa'n tak gusl e mayyat ka talluq hai to wo
ek to is liye diya jaata hai ke wo junoob hota
hai. Dusra is liye ke paak o saaf ho kar Malaaika
se mulaqaat kar sakey. Is tarah gaasil (gusl
dene wala) is liye gusl karta hai taake (saaf
hokar) Momeneen se mulaqaat kar sakey”.
(Wasaail ush Shia, v2, p148)
29. NAMAZ E JANAZA
i)Imam Reza (as):
Namaz e Janaza mein is liye Ruku aur Sujood
nahi hai ke is Namaz ka maqsad sirf (bargaah e
Khuda mein) is bande (marhoom) ki sifaarish
karna hai…Aur hum ne Namaz e Janaza ko
bagair Wuzu padhne ko is liye jaaez qaraar diya
hai kyun ki is mein na Ruku hai aur na Sujood…
(Wasaail ush Shia, v2, p215)
ii)Imam Kazim (as):
Masjido'n mein Namaz e Janaaza nahi honi
chahiye.
(Furoo e Kafi, v1, p308)
iii)Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ke Janaaze mein 40 Momin gawaahi
de denge ke 'Hum iske baare mein sirf Khair
jaante hain', to Parwardigaar awaaz dega ke
tumhari wajah se Maine oon gunaaho'n ko bhi
maaf kar diya jisko tum nahi jaante the lekin
Main jaanta hoon.
(Khisaal, Chapter40)
iv)Imam Sadiq (as):
Joota pahen kar Namaz e Janaza nahi padhni
chahiye, haa'n albatta moza (socks) pahen kar
padhi jaa sakti hai. (Joota pahen kar Namaz e
Janaza padhna makrooh hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p228)
V)Namaz e Janaza
Imam Reza (as)
se sawaal huwa ke Namaz e Janaza ka hukm
kyun diya gaya hai?
Imam (as) ne farmaya,
"Taake log uski Khuda ke huzoor shafaa'at
karein aur uski maghferat ki Dua maangein aur
koi bhi shakhs oos ghadi se zyada Shafaa'at aur
Astaghfaar ka mohtaaj nahi hota jitna ke marne
wala mohtaaj hota hai".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p241)
30. MAYYAT MEIN SHIRKAT KA AZEEM
SAWAAB
i)Rasule Khuda (saww):
Jab bhi koi kisi mayyat me sharik hota hai to
har kadam ke badle me Dus crore neki uske
naame aamal me likhi jaayegi aur dus crore
gunaah mita diye jayenge, aur uska martaba
Dus crore darja buland hoga. Agar wo Namaze
Mayyat me sharik hoga to dus crore farishte
uski mayyat mein aayenge aur uske qabr se
uthaaye jaane tak uske liye Astagfaar karenge.
Agar wo mayyat dafn hone tak rukta hai to Allah
1000 farishte muqarrar karega jo sabhi uske
qabr se uthaaye jaane tak uske liye tauba
karenge, Jibrail (as) 70000 farishto'n ke saath
oos shakhs ke peechle gunaah ki maafi ke liye
Dua karenge jisne kisi marhoom ki Namaze
Mayyat padhi . Agar koi mayyat ke dafn hone
tak thhaherta hai, to qabrastan se apne ghar tak
HAR qadam ke badle mein usay ek Qiraat ka
sawab milega aur ek Qiraat ka naap Ohad
pahaad ke jitna hai.
(Rules Relating to the Deceased)
(Also in Sawaabul Aamaal (Naseem e Behisht,
p629)
ii)Rasule Khuda (saww):
se sawaal huwa ke ek shakhs ko ek waqt mein
Walime (shaadi) mein shirkat ki daawat ho aur
Janaze mein bhi jaana ho to inme se kaun sa
kaam afzal hai? Aur inme se kis par labbaik
kahe?
Aap (saww) ne farmaya, "Janaze mein jaa kyun
ki ye Aakherat ki yaad dilaata hai aur Walime ko
tark kar de kyun ki ye Duniya yaad dilaata hai".
(Wasaail ush Shia, v2, p128)
iii)Rasule Khuda (saww):
Jab tumhe kisi Janaze ki taraf bulaya jaaye to
usme jaldi karo aur kisi shaadi mein bulaya
jaaye to usme deyr karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p128)
31. TASHIYYE JANAZA
i)Imam Baqir (as):
Janaze ke pichhe chalna janaze ke aage chalne
se behtar hai.
(Furoo e Kafi, v1, p302)
ii)Imam Baqir (as):
Janaze ke aage na chalo, Musalmaan ke janaze
ke aage Malaaika tezi se Jannat ki taraf le jaate
hain aur Kaafir ke janaze ke aage tezi se
Dozakh ki taraf le jaate hain.
(Furoo e Kafi, v1, p302)
iii)Riwaayat:
Jo shakhs janaze ke ham-raah ha'nse (laughs
while accompanying a mayyat) to Khuda e
Qahhar Qayamat ke din tamaam makhlooq ke
saamne uski tauheen karega. Aur jo shakhs
Kabrastan mein ha'nse to is haalat mein waapas
lautega ke uspar Uhad ki pahaadi ke barabar
wabaal hoga. Aur jo marne-wale ke liye Rehmat
ki Dua karega, wo Dozakh se najaat paayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p285)
iv)Imam Baqir (as):
Sab se pehla tohfa Momin ke ye hai ke jo
janaze ke pichhe chalta hai uske gunaah maaf
ho jaate hain.
(Furoo e Kafi, v1, p304)
v)Imam Sadiq (as):
Jo Mayyat ko kaandha de Allah uske 25
GUNAAHE KABIRA maaf karega aur Jo chaaro'n
taraf se kaandha de usay Gunaaho'n se paak
kar dega.
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)
32. JANAAZA UTHHATE WAQT KYA SOCHNA
CHAHIYE
Imam Sadiq (as):
Jab koi janaaza uthhaya jaaye to yo'n samjho ke
goya tumhara janaaza uthhaya jaa raha hai aur
(jab waapas aao to) yo'n samjho ke tum ne
apne Parwardigaar se duniya mein dobara aane
ki Dua ki jo qubool ho gayi…ab dekho naye sire
se kya amal karte ho…
(Wasaail ush Shia, v2, p282)
33. QABR KHODNE KA SAWAAB
Imam Baqir (as):
Jo kisi Momin ki Qabr khode wo oos shakhs ke
jaisa hai jo Qayaamat tak ke liye usay ghar
banwa de.
(Furoo e Kafi, v1, p299)
34. QABR
Rasule Khuda (saww):
Yaqeen jaan lo ke Qabr Aakherat ki manzilo'n
mein pehli manzil hai. Agar insaan is se najaat
paa gaya to uske baad tamaam maraahil uske
liye aasaan honge aur agar najaat na paa saka
to uske baad ke maraahil oos se kam nahi
honge.
(Meezan ul Hikmah, v8 p1)
35. Imam Ali (as):
Maal maut tak saath deta hai, Aulaad qabr tak
aur Aamaal hashr tak.
(Khisaal, ch3)
36. Rasule Khuda (saww):
Maine jo bhi (bhayaanak) manzar dekha hai,
qabr ka manzar oos se kahi'n zyada bhayaanak
hai.
(Meezan ul Hikmah, v8 p3)
37. QABR MEIN MAYYAT UTAARNA
i)Imam Baqir (as):
Yakaayak Mayyat ko Qabr mein daakhil na karo.
Qabr se 2 - 3 haath ke faasle par rakho aur
halke halke qabr tak le jao.
(Furoo e Kafi, v1, p314)
ii)Imam Kazim (as):
Jab mayyat ko qabr ke kinaare le jao to usay
kuchh mohlat do taaki sawaal jawaab ke liye
tayyar aur aamada-kaar ho jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p250)
iii)Imam Reza (as):
(Mayyat ko dafnane) Qabr mein MAT utro
amaame aur topi ya rida aur jooto'n ke saath
aur paai'nche upar ko chadhaa lo.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
iv)Imam Reza (as):
(Mayyat ko Qabr mein utaarne ke liye) Qabr
mein daakhil chaahe kisi taraf se ho jaaye lekin
nikle pairo'n ki taraf se.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
V)Imam Sadiq (as):
Jab mayyat ko qabr mein utaarne lago to narmi
ke saath utaaro. Aur jab lahed mein rakh chuko
to mayyat ka sabse zyada qareebi rishtedaar
(qabr mein utar kar aur) mayyat ke sar ke paas
baithh kar pehle Khuda ka naam le (Bismillah
padhe), phir Paigambar e Akram (saww) aur
unki Aal (as) par Durood padhe, Shaitaan se
panaah maange (Auzobillah padhe), Surah
Fatiha, Surah Falaq, Surah Naas, Surah Ikhlaas,
Ayatul Kursi padhe. Aur agar uska rukhsaar
kafan se baahar nikaal kar khaak par rakh sakey
to aisa kare, phir Shahadatain padhe aur naam
ba naam Aimma e Tahereen (as) ka (12
Imamo'n ka) Sahib uz Zamaan (atfs) tak zikr
kare.
(Wasaail ush Shia, v2, p254)
vi)Imam Reza (as):
Beta apne baap ki Qabr mein (dafnane ke liye)
utre, lekin baap bete ki qabr mein na utre.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
vii)Imam Ali (as):
Ye sunnat e Rasool (saww) hai ke aurat ki Qabr
mein (mayyat utaarne) wo daakhil ho jiske
saamne wo ba-haalat e hayaat aati ho.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
viii)Imam Ali (as):
Aurat ka shauhar zyada haqdaar hai ke wo apni
zauja ko Qabr mein utaare.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
38. QABR MEIN KAISE LITTAYE
Imam Sadiq (as):
Mayyat ke liye mitti ka takiya banaya jaaye aur
uski pusht ke peechhe dhhela rakkha jaaye taaki
chit na ho jaaye aur uske tamaam band'ha e
kafan khol diye jaayein aur uska chehra kafan
se baahar nikaal diya jaaye phir uske liye dua
maangi jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p253)
39. Imam Sadiq (as):
Jab ek Momin ko uski qabr me utaara jaata hai
to uski Namaz uske daahine (right side) khadi
hoti hai, uski Zakaat baayein (left side), uske
Nek amaal uska saaya kiye hote hai aur uska
Sabr uske saath khada hota hai.
(Adabus Salaat)
40. Imam Baqir (as):
Jab Momin qabr mein daakhil kiya jaata hai to
usay nidaa di jaati hai tera pehla atiyaa (tohfa)
Jannat hai aur teri mashaaiyat (janaaze mein
aane waalo'n) ka pehla atiyaa unke gunaaho'n
ki bakshish hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p240)
41. Rasule Khuda (saww):
MAYYAT par Qabr mein PEHLI RAAT se zyaada
SAKHT ghadi koi aur Nahi hoti, lihaaza apne
Murdo'n par SADQE ke zariye Rahem karo.
(Manaazilul Aakhira, Pg. 45)
42. WEHSHAT E QABR SE RAHAAT
i)Rasule Khuda (saww):
Jo koi sone se pehle Sura Takaasur (Sura no.
102) ki tilawat karega, wo qabr ki takleef se
mehfooz rahega.
(Uddatud Dai)
ii)Imam Baqir (as):
Jo shakhs Namaz mein Rukoo mukammal taur
par baja laata hai usay Qabr ki wehshat ka koi
khatra nahi hoga.
(Meezan ul Hikmah, v8, p15)
(Manazilul Aakherah, p47)
iii)Imam Sadiq (as):
Jo koi 100 martaba LA ILAHA ILLALLAHUL
MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhta hai to Allah
usko gareebi se bachata hai, aur uski Qabr ki
wehshat (tanhaai) ko Uns (aashnaayi /
familiarity) se tabdeel karta hai aur Maaldaari
bakshta hai aur Jannat ka darwaza uske liye
kholta hai.
(Jaame ul Akhbaar, p75)
iv)Imam Baqir (as):
Ziyarat e Imam Husain (as) karne wale ki qabr
hadd e nigaah tak kushaada aur vasi / chaudi ho
jaati hai aur Khuda usko Fishaar e Qabr se
amaan ataa karta hai aur Munkir Nakir uske liye
khauf ka sabab nahi bante hain, uske liye
Jannat tak ek darwaza khol diya jata hai..aur
Qayamat mein usko aisa Noor ataa kiya jaayega
jis se Mashriq aur Maghrib raushan ho jaayenge
aur ek manaadi nida dega ' Ye hai shauq se
Imam Husain (as) ki Ziyarat karne wala Zaair',
oos waqt Qayamat mein bhi koi aisa na hoga jo
ye tamanna na kare ke kaash wo bhi Imam
Husain (as) ka Zaair hota.
(Al Muntazar, 1423)
43. DAFN KARNE JAANE KA SAWAAB
Rasule Khuda (saww):
Jo kisi Mayyat ko Dafn karne jata hai, usay HAR
qadam ke badle 10 crore Sawaab milega, 10
crore Gunaah Maaf hoge..
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)
43. QABR PAR MITTI DAALNA
i)Imam Sadiq (as):
Main to rishtedaaro'n ki qabr par mitti daalne se
manaa karta hoon is liye ke is se dil mein
qasaawat paida hoti hai aur jiske dil mein sakhti
paida ho jaaye wo apne Rab se duur ho jaata
hai.
(Furoo e Kafi, v1, p319)
ii)Imam Baqir (as):
Jab mayyat par mitti daali jaa chuke aur qabr
barabar ki ja chuke to uske saraahne qabr par
haath rakho aur ungliyaa'n phaila kar aur haath
dabaa kar rakho aur ye sab kuchh qabr par
paani chhidakne ke baad ho. (Jo shakhs Namaz
e Janaza mein shaamil na ho saka ho to uske
liye aisa karna mustahab e muakkada
(emphasized Sunnat act) hai aur jo Namaz e
Janaza mein shaamil huwa tha uske liye oos
qadar Muakkada (emphasized) nahi hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p265-266)
iii)Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) ne is baat ki mumaniyat
(prohibition) farmaayi hai ke qabr par wo mitti
daali jaaye jo oos qabr se nahi nikli hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)
iv)Imam Sadiq (as):
Agar qabr ki mitti ke alaawa kuchh mitti qabr
par daali jaaye to wo mayyat par bojh hoti hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)
44. QABR PAR PAANI CHHIDAKNA
i)Imam Sadiq (as):
Qabr par paani chhidakne mein masnoon
(sunnat) tariqa ye hai ke qibla rukh hokar sar ki
jaanib se ibteda karo aur paayeti ki taraf se
hote huwe doosri taraf se phir sar ki jaanib aa
jao. Phir (bacha huwa paani) qabr ke beech
mein chhidak do. Isi tarah Sunnat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p264)
ii)Imam Baqir (as):
ne Qabr par paani chhidakne ke mutalliq
farmaya: Jab tak mitti mein tari (wetness) rehti
hai, sahebe Qabr (marne waale) se Azaab duur
rehta hai.
(Furoo e Kafi, v1, p320)
45. QABR KE PAAS SE KYUN LAUT JAAYEIN?
Imam Sadiq (as):
…(Qabr ke paas se jaldi) laut jaayein taake
Mayyat ke saath koi aisa waaqiya pesh na aaye
ke ye uski awaaz sunein.
(Wasaail ush Shia, v2, p276)
46. MARNE WALE KA QAREEBI RISHTEDAAR
Imam Sadiq (as):
Aam logo'n ke waapas laut jaane ke baad
mayyat ka sab se zyada qareebi rishtedaar qabr
ke paas thhaher jaaye aur dono haatho'n se
khaak e qabr ko pakadne ke baad ba-awaaz e
buland usay Talqeen padhaaye. Jab wo aisa
karega to mayyat qabr mein (Nakirain ke)
sawaal o jawaab se bach jaayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)
47. QABR PAR AISI TAKHTI NASB KARNA JIS
PAR MAYYAT KA NAAM LIKHA HO, JAAYEZ
HAI
Riwaayat:
Imam Mehdi (atfs) ki waalida (J. Narjis Khaatun
(sa)) ka inteqaal Imam Hasan Askari (as) ki
zindagi mein ho gaya aur unki qabr par ek takhti
nasb ki gayi thi jis par likha tha "Haaza Qabr
Umme Muhammad (as)".
(Kamaluddin)
(Wasaail ush Shia, v2, p269)
48. ZAAIR E IMAM HUSAIN KI MANZELAT
Imam Baqir (as):
Imam Husain (as) ki Ziyarat karnewala agar
aane ke ek saal me inteqaal karega to Rehmat
ke farishte uske Gusl o Kafan me sharik hote
hain, uske liye Astagfaar karte hain, uske liye
Talab e Magferat karte huwe uski qabr tak uske
janaaze ke pichhe pichhe jaate hain.
(Al Muntazar, 1423)
49. MAYYAT KE LIYE MAGHFERAT TALAB
KARNA
Imam Sadiq (as):
Agar mayyat ke liye maghferat talab ki jaaye
aur uske haq mein Rehmatullah kaha jaaye to
wo oos se isi tarah khush hota hai jaise wo
zinda aadmi khush hota hai jise koi hadiya pesh
kiya jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p123)
50. MAYYAT KE LIYE NEK AMAL KARNA
Imam Sadiq (as):
Musalmano'n mein se jo kisi marne wale ke liye
koi nek amal bajaa laaye to Khuda usay bhi oos
amal ka do-guna (DOUBLE) ajr ataa farmata hai
aur marne wale ko bhi oos se faayda pahunchta
hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p123)
51. ALLAH KA KARAM – GHAM KA BHULA
DENA
i)Imam Sadiq (as):
Khuda wande Aalam ne ek Farishta Qabrastan
mein muwakkal kar rakkha hai ke jab mayyat ke
rishtedaar uske janaze se (aur dafn se faarigh
hokar) waapis laut'te hain to wo khaak ki ek
mutthi uthha-kar unke pichhe phenkta hai aur
kehta hai ke jo kuchh dekha hai usay bhool jaao.
Agar aisa na karta to koi shakhs apni zindagi
mein nafaa haasil nahi karta.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)
ii)Imam Sadiq (as):
Khuda wande Aalam ne apne bando'n par 3
ehsaanaat farmaaye hain:
1) Ruuh ki judaayi ke baad (bhula dene waali)
hawaa chalaata hai aur agar aisa na hota to koi
dost kabhi kisi dost ko dafn na karta,
2) Musibat ke baad tasalli deta hai aur agar aisa
na hota to nasl munqata ho jaati, aur
3) Is gehu ke daane par keeda musallat kiya
agar aisa na karta to badshaah usay is tarah
zakhira karte jis tarah sona chaandi karte hain.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)
iii)Imam Sadiq (as):
Jab koi aadmi mar jaata hai to Khuda wande
Aalam oos aadmi ke paas jo sab se zyada
mutassir hota hai, ek Farishta bhejta hai jo uske
dil pe par (wings) pherta hai jiski barkat se wo
uski huzn o malaal (gham) ki shiddat ko bhula
deta hai aur agar aisa na hota to duniya kabhi
aabaad o shaadab na hoti.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)
52. CONDOLENCE
i)Rasule Khuda (saww):
Ta'ziyyat aur tasliyat (condolence &
consolation) pesh karna Jannat mein daakhil
hone ka baais (cause / kaarann) hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p275)
ii)Imam Sadiq (as):
Itni hi ta'ziyyat (condolence) kaafi hai ke gham-
zada (bereaved) tumhe haazir paayein.
(Al Faqih, v1, p174)
iii)Rasule Khuda (saww):
Jo kisi gham-zada shakhs ko tasalli dega usay
Qayamat ke din ek Hulla pehnaya jayega jis se
usko muzayyan kiya (sajaaya) jayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p271)
iv)Imam Sadiq (as):
Jo kisi musibat-zada ki taaziyat (shok / dilaasa /
condolence) kare, to usay oos musibat-zada ke
Ajr ke baraabar Sawaab milega.
(Furoo e Kafi, v1, 323)
53. MAYYAT YA MUSIBAT PAR RONA JAAYEZ
HAI AUR JAB HUZN O MALAAL (GHAM) BAHUT
BADH JAAYE TO PHIR RONA MUSTAHAB HAI
i)Riwaayat:
Jis shakhs ko shiddat e hamm o gham ki wajah
se apni jaan ka khatra ho, usay chahiye ke
khoob aa’nsu bahaaye. Is se usko taskeen ho
jaayegi.
(Wasaail ush Shia, v2, p312)
ii)Imam Sadiq (as)
se ek sahaabi ne oos sozish e qalbi (dil ki jalan)
ka haal bayaan kiya jo uske andar uske bete ke
marne ke baad mehsuus huwi jis se usay apni
aql ke jaane ka khauf paida huwa. Imam (as) ne
farmaya, "Ro lena chahiye, is se taskeen
(sukoon) ho jaati hai".
(Furoo e Kafi, v1, 349)
54. BETI KI EHMIYYAT
Imam Sadiq (as):
Hazrat Ibrahim Khaleelullah ne Khuda wande
Aalam se Dua ki thi ke wo unko ek beti ataa
farmaye jo unki maut par girya o buka kare.
(Wasaail ush Shia, v2, p289)
55. SABR KARNA
i)Imam Sadiq (as):
Agar musibat mein sabr karoge to Ajr (sawaab)
milega aur agar na karoge to jo hukm e Ilaahi
hai wo to zaroor jaari hokar rahega aur tum
bagair sawaab ke rahoge.
(Furoo e Kafi, v1, 332)
ii)Imam Sadiq (as):
Momeneen mein se jo Momin kisi balaa o
musibat mein giraftaar ho aur wo uspar Sabr
kare to usay 1000 Shaheed ke barabar ajr o
sawaab ataa kiya jayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p298)
iii)Rasule Khuda (saww):
Musibat ke waqt Musalmaan ka raan par haath
marna uske ajr (sawaab) ko dho deta hai.
(Furoo e Kafi, v1, 332)
56. RASULE KHUDA (saww) KI MUSIBAT KO
YAAD KARE
Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ko koi musibat dar-pesh aaye usay
chahiye ke H. Rasule Khuda (saww) ki musibat
ko yaad kare kyun ki wo tamaam masaaib se
badi musibat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p304)
57. SABR – ALLAH KA KARAM
Riwaayat:
Agar balaa o musibat se pehle Sabr na paida
huwa hota to phir Momin (musibat se) is tarah
phatt jaata jis tarah andaa patthar par lagne se
phatt jaata hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p299 )
58. PADOSI KO CHAHIYE KE MAYYAT WALE
GHAR MEIN KHANA BHEJEIN MAGAR WAHAA’N
KHAAYE NAHI
i)Rasule Khuda (saww):
Saahebe musibat (jiske ghar mayyat huwa ho
oon logo'n) ke hum-saayo'n (padosiyo'n) ko
chahiye ke 3 din khana bhejein.
(Furoo e Kafi, v1, p329)
ii)Imam Sadiq (as):
Saaheb e musibat ke padosiyo’n ko chahiye ke
uski taraf se 3 din tak (USKO AUR USKE
MEHMANO’N KO) khana khilaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p287)
iii)Imam Sadiq (as):
AHL E MUSIBAT KE YAHAA’N KHANA KHAANA
JAHILIYYAT KI RASM HAI. Sunnat ye hai ke
unke ghar khana bhijwaya jaaye jis tarah J.
Rasule Khuda (saww) ne J. Jafar e Tayyar (ra)
ki khabar e shahadat aane par hukm diya tha
(ke 3 din unke ghar khana bheja jaaye).
(Wasaail ush Shia, v2, p287)
59. Rasule Khuda (saww):
Ahl e Mayyat (jiske ghar mayyat huwa ho) ke
saath 3 din shareek e gham hona chahiye maut
ke din se.
(Furoo e Kafi, v1, 329)
60. WAALEDAIN KI QABR KI ZIYARAT
i)Rasule Khuda (saww):
Jo koi roz e Juma apne waaledain ki qabro’n ki
(ya dono mein se kisi ek ki qabr ki) Ziyarat
karega to uske gunaah baksh diye jaayenge aur
uska naam Swaalehin mein likha jayega.
(An Enlightening Commentary into the Light of
the Holy Quran, v18, Surah Jum’a)
ii)Imam Ali (as):
Pehle apne waaledain ki qabr par jaakar unke
haq mein Dua aur talab e maghferat kare phir
uske baad apni haajat Khuda wande Aalam se
talab kare.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p56)
61. APNE MURDO’N KI QABRO’N KI ZIYARAT
i)Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) ka ek qabr ke paas se
guzar huwa jis mein guzishta roz ek murde ko
dafn kiya gaya tha aur uske wursa (family
members) uspar ro rahe the. Ispar aap (saww)
ne farmaya, "Tumhari mukhtasar 2 rakaat
Namaz jise tum haqeer samajhte ho is qabr
wale ke liye tumhari tamaam daulat se behtar
hai".
(Meezan ul Hikmah, v8, 12)
ii)Imam Ali (as):
Apne marne waalo'n ki ziyarat kiya karo, kyun ki
wo tumhari ziyarat se khush o khurram hote
hain, aur chahiye ke tum apne maa-baap ki
qabro'n ke paas jahaa'n unke haq mein Dua
karte ho wahaa'n apne liye bhi (Khuda se)
haajat talab karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p279)
62. QABRASTAN MEIN KYA PADHE
i)Rasule Khuda (saww):
Jo aadmi Qabrastan se guzre aur 11 martaba
Surah Tauheed (Surah Qulho Wallah) padhe to
aise aadmi ko oon murdo'n ke muqaabil sawaab
milta hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p424)
ii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Qabarastan jaakar Surah Yaseen ki
tilawat kare to oos din Ahle Quboor ke (jo log
qabr mein dafn hain unke) Azaab mein takhfeef
(relaxation) ki jaayegi aur Qabrastan mein jitne
bhi murde dafn hain oon sab ki tadaad ke
barabar usay nekiyaa'n ataa ki jaayengi.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p160)
iii)Rasule Khuda (saww):
Jab koi Momin Ayatul Kursi padhta hai aur uska
sawaab Qabrastan ke murdo’n ko hadiya karta
hai to Allah Azz wa Jall, har ek harf (akshar) ke
balde ek Farishta khalq karega aur Roz e
Qayamat tak ye Farishte Allah ki Tasbeeh
karenge aur is tasbeeh ka sawaab is Ayatul
Kursi padhne wale ko milega.
(Al-Haqq Newsletter, Oct – Dec 2010)
REQUEST: UPAR WALI AHADEES KE MUTABIQ
MURDO'N KI TADAAD KE BARABAR SAWAAB
HAI TO NAJAF MEIN WAADI US SALAAM MEIN
YE SAB KHAAS TAUR PAR PADHE JAHAA'N
LAAKHO'N MOMIN DAFN HAI. ISKA SAWAAB
MARHUMEEN KO BHI MILEGA AUR AAP KO BHI
INSHA ALLAH BE-INTEHA SAWAAB MILEGA.
63. Rasule Khuda (saww):
se poochha gaya,"Agar ek taraf Tashiyye
Janaza (Mayyat Dafnaani ho) aur doosri taraf
Aalim ki Ilmi mehfil (majlis / class) lagi huwi ho
to farmayein ke aap ke nazdeek kaun sa kaam
behtar hai?"
Aap ne farmaya, , "Agar oos janaze ke
ehtemaam ke liye doosre log maujood ho'n to
mere nazdeek Aalim ki Ilmi mehfil behtar aur
bartar hai. Ye mehfil 1000 Tashiyye Janaze se,
1000 Mareez ki ayaadat karne se, 1000
Shabbedaari (Ibaadat ke liye 1000 raat jaagne
se), Gareebo'n aur Faqeero'n mein 1000 Dirham
kharch karne se, aur 1000 Hajj aur 1000 Jihaad
karne se behtar hai".
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p20)
64. MALEKUL MAUT KI MAUT
i)Rasule Khuda (saww):
Jab Qayamat ka din hoga to Allah Malekul Maut
se farmayega, "Malekul Maut! Mujhe Apni izzat
of jalaal aur azmat o bulandi ki qasam! Tumhe
zaroor bil zaroor Maut ka zaika chakhaaunga
jaisa ke tum ne Meri ummat ko Maut ka zaika
chakhaya hai".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p86)
ii)Imam Baqir (as):
Jab ahle Jannat Jannat mein aur ahle Dozakh
Dozakh mein daakhil honge to oos waqt Malekul
Maut ko ek gosfand (sheep) ki shakl mein laaya
jayega aur usay Jannat aur Dozakh ke
darmiyaan zibah kiya jayega phir kaha jayega ke
ab hamesha ki zindagi hai, ab kabhi maut nahi
aayegi..
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p221)
65. SURAH YASEEN KI TILAWAT KARNE KA
AZEEM SAWAAB
1. Imam Baqir (as):
Jo apni zindagi mein ek martaba Surah Yaseen
ki tilawat karega to Khuda Wande Mut'aal
zameen, Aakherat aur aasmaan ki har makhlooq
ke hisaab se uski 2000 nekiyaa'n likhega aur
2000 gunaah mitaa dega aur wo faqr, maali
nuksaan, deewar ke niche aa-kar marne,
bechaargi, deewangi, juzam (leprosy), waswase
aur har nuksaan, beemari se mehfooz rahega
aur Khuda maut ki sakhtiyo'n aur khauf ko
aasaan kar dega aur KHUD uski Rooh qabz
karega aur uska shumaar oon logo'n mein hoga
jinki zindagi mein wus'at, mulaqaat e Khuda ke
waqt farhat o khushi, aur Aakherat mein
sawaab e Ilaahi par raazi hone ki khud Khuda
ne zamanat di hai aur Khuda zameen o
aasmaan par maujood tamaam Farishto'n se
farmayega ke, "Main fulaa'n shakhs se raazi
hoo'n to tum sab uske liye Astaghfaar karo".
(Sawaabul Aamaal, p239)
2. Imam Sadiq (as):
Har cheez ka ek qalb (dil / heart) hota hai aur
Qalb e Quran Yaseen hai.
Jo sone se pehle ya din ke kisi hisse mein iski
tilawat karega to oos din mehfooz rahega aur
Khuda se Rozi payega aur jo raat ko sone se
pehlle iski tilawat karega to Khuda
Wande Mut'aal 70000 Farishto'n ki duty
lagayega ke Shaitaan ke shar se aur har aafat
se uski hifazat ki jaaye.
Agar agle din mar jaaye to to Khuda usay
Behisht mein daakhil karega aur 30000 Farishte
Gusl dete waqt wahaa'n maujood honge aur
uske liye Astaghfaar karenge aur Dua e
Maghferat ke saath Qabr tak tashiyye janaza
mein shareek honge aur jab usay Qabr mein
daakhil kiya jayega to pehle Farishte Qabr mein
daakhil hokar ibaadat karenge aur is ibaadat ka
sawaab uske liye hoga aur ta hadd e nigaah (as
far as the eyes can see) uski Qabr ko wus'at
ataa farmayega aur wo fishaar e Qabr se aman
mein rahega aur uski Qabr se lekar aasman tak
darakshaa'n noor oos waqt tak baaqi rahega jab
tak Khuda usay Qabr se nikaal nahi leta.
Aur jab usay Qabr se nikaalein to uske saath
Farishte guftagu karenge, uska chehra khush-
haal hoga aur wo usay har maqaam par khair
sunayenge yahaa'n tak ke Puul e Siraat aur
Mizaan ko paar karega aur usko Khuda ke itna
nazdeek le jaayenge ke muqarrab Farishto'n aur
aur Mursal Ambiya ke alawa koi Khuda ke itna
nazdeek na hoga. Wo Paighambaro'n ki
hamraahi mein bargaah e Khuda Wandi mein
khada hoga jab ke doosre log ghamgeen aur
pareshaan aur be-taab honge. Usay koi gham,
pareshaani aur mushkil na hogi. Oos
waqt Khuda Wande Mut'aal usay farmayega, "Tu
jiski chahe Shafa'at kar, Main teri Shafa'at
qubool karunga aur maang jo maangna chahta
hai tujhe ataa karunga".
Wo jo chahega usay milega aur jiski Shafa'at
karega qubool hogi halaa'nki baaz logo'n
ka muhaaseba (hisaab) ho raha hoga, unhe roka
gaya hoga, wo zaleel ho rahe honge magar uske
liye koi hisaab kitaab nahi hoga, koi nahi rokega
aur uske liye kisi qism ki zillat na hogi, apne kisi
bhi galat kaam par bad-bakhti ka saamna nahi
karega aur naama e aamaal khol kar usay diya
jayega aur jab aur jab Khuda ki bargaah se
niche aayega to log usay dekh kar Subhanallah
ka wird karte huwe kahenge, "Is Abd e Khuda ki
koi khata na thi aur usay Hazrat Muhammad
(saww) ki rafaaqat (sohbat /
companionship) naseeb huwi hai".
(Sawaabul Aamaal, p237)
66. Qabr me Quran ki Taalim
Imam Sadiq (as):
Hamare mohibbo'n aur Shiyo'n mein se koi mar
jaaye aur wo achchi tarah Quran padhna NA
jaanta ho to Qabr mein usay Quran ki taalim di
jaati hai taake Khuda usko buland darajaat ataa
kare. Jaan lo ke Behisht (Jannat) ke darajaat
Qurani aayaat ki taadaad ke barabar hain.
Wahaa'n Qaari e Quran (Quran padhne wale) se
kaha jaata hai 'Quran padho aur agle darje mein
jao'.
(Sawaabul Aamaal, p277)
67. Imam Sadiq (as):
Jo koi Shia Momin inteqaal kar jaaye aur Dafn
ho jaaye to Khuda 70000 Farishte ma'moor
(appoint) karta hai jo uske liye Rehmat talab
karte hain aur jab wo apni Qabr se baahar nikle
to uski maghferat ki Dua karte hain.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p212)
68. Imam Baqir (as):
Jo koi kisi Musalmaan ka Tashiyye Janaza adaa
kare to aise shakhs ko Roz e Qayamat 4
shafa'atein ataa ki jayengi aur Farishte oos se
kahenge ke ye tere oos amal (Tashiyye Janaza)
ke waaste hain.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p212)
***************************
ﻳَﺎ ﻣَﻦْ ﻳَﻘْﺒَﻞُ ﺍﻟْﻴَﺴِﻴْﺮَ ﻭَﻳَﻌْﻔُﻮْ ﻋَﻦِ ﺍﻟْﻜَﺜِﻴْﺮِ ﺍِﻗْﺒَﻞْ ﻣِﻨِّﻲ ﺍﻟْﻴَﺴِﻴْﺮَ
ﻭَﺍﻋْﻒُ ﻋَﻨِّﻲ ﺍﻟْﻜَﺜِﻴْﺮَ ﺇِﻧَّﻚَ ﺍَﻧْﺖَ ﺍﻟْﻐَﻔُﻮْﺭُ ﺍﻟﺮَّﺣِﻴْﻢُ .
O He who accept even the smallest (efforts) but
excuses from restrictions, accept whatever little
there is and release from hardships frequently,
Verily Thou art Oft-forgiving, Merciful.
**************
IMAM MAHEDI(ATFS) :
Jab tumhe pata chale ke koy Momin ya
koy Momina is duniyase Rukhsad ho gaya
hai to NAMAZE WAHSAD magarib ke bad
ADA karo aur jab tum is duniyase Rukhsad
ho jawo ge aur agar tumhari (namaze
wahsad) koy nahi ADA karega to MAI
TUMHARI NAMAZ ADA KARUNGA.
(Aqwale masumin Imame Zamana (ATFS






Discover Jaunpur , Jaunpur Photo Album

Jaunpur Hindi Web , Jaunpur Azadari

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item