HAZRAT ALI (AS) AUR KALAM’E IQBAL* WA GHALIB
Allama Iqbal* ke chAnd ashaar: Muslim’e awwal, shahey mardaaN Ali( A.S.) ishq ra sarmaaya’e eimaaN Ali(A.S.) Allaama Iq...
https://www.qummi.com/2019/03/hazrat-ali-as-aur-kalame-iqbal-wa-ghalib.html
Allama Iqbal* ke chAnd ashaar:
Muslim’e awwal, shahey mardaaN Ali( A.S.)
ishq ra sarmaaya’e eimaaN Ali(A.S.)
Allaama Iqbal*
khaira na kar saka mujhey, jalwaey daanish’e farAng
surma hai meiri aaNkh ka, khaakey Madina o Najaf
Allaama Iqbal*
faiz Iqbal* hai usi dAr ka
bandaey shaah’e la-fataa hooN maiN
Allaama Iqbal*
yeh hai Iqbal*, faiz e yaad e naam e Murtaza, jis se
nigaahey fikr mein khalwat saraaey la-makaaN tAk hai
Allaama Iqbal*
————–
Mirza Ghalib* ke Qaseed’e ke chAnd ashaar:
laal se ki hai paey zamzamaey midhat’e Shah
tootiye sabzaey kohsaar ne paida minqaar
( maqsad yeh ke pahaaRh par sabza bhi ugta hai,
aur usmeiN Laal bhi hotEy haiN. donoN ne milkar
eik aise parindey ki shakl paida ki jiska rAng
sabz aur choaNch surkh hai, Gharaz yeh ke
Hazrat Ali ki madha kareiN.)
woh Shahanshaah ke jis ki paey ta’ameer’e sara
chashm’e jibreel hui qaalib’e khasht’e deewaar
( Hazrat Ali woh shahanshaah haiN, jinke mahal
saraaey ki taameer ke liye eiNtoN ki zaroorat
paRi tO Hazrat Gibraeel ne apni aaNkh qaalib
banaaney ki gharaz se peish ki taaki ussmeiN
dhaal dhaal kAr eiNteiN thaap li jaaeiN.)
khaakey sahraaey Najaf, jaoharey saeyr’e urfaa
chashmey naqsh’e qadam, aainaey bakht’e beidaar
( Najaf e Ashraf ke sahra ki khaak khuda shinaas
logoaN ke irfaan o sulook ka jaohar yaani
rooh e rawaaN hai, aur iss sahra ki khaak par
naqsh’e paa ki aaNkh jaagtey huEy naseebey ka
aaina hai.)
zarra iss gArd ka, khursheed ko aainaey naaz
gArd iss dasht ki ummeed ko ko ahraam’e bahaar
( Sahraaey Najaf ka zarra zarra suraj ke liye
maayaey naaz hai, aur wahaN ki gArd ummeed ke
liye bahaar ka saamaan hai.)
hUm ibaadat ko tera naqsh’e qadam, mohrey namaaz
hUm riyazat ko tere haUsl’e se istezhaar
( aey Hazrat! aap ka naqsh’e qadam ibaadat mein
mohr’e namaaz hai, yaani usi par sajda kiya jaata
hai, aur riyaazat ki pushteebaani bhi aapki hausla
afzaai se hoti hai. Aapki zaat’e ba-barkaat ko
deikhkar yeh jazba paida hota hai ke riyaazat ki
jaaey.)
madha meiN teiri nehaaN zamzamaey naat’e Nabi(SAW)
jaam se tere ayaaN baadaey josh’e asraar
( Aey Hazrat! aapki madha meiN Rasool Allah (SAW) ki
naat ka taraana chupa hua hai, aur aap hi ke
jaam’e faiz se posheeda bheidon ki sharaab ubalti
hai.)
dushman’e Aal’e Nabi ko ba’tarab khaana’e daHr
arz’e khAmyaaza’e sailaab ho taaq’e deewaar
( jo shakhs Ahl’e Bayt ka dushman ho, khuda kar’e,
iss duniya ke ishrat kadey mein uskey liyedeewaar
ka hAr taaq sailaab ki angRaai ki tasweer ban jaaey.
matlab yeh ke hAr taaq’e deewaar se sailaab uthey
aur uskey ishrat kadey ki eiNt se eiNt baja de.)
deeda taa dil Asad* aaeenaey yak partaw’e shauq
faiz’e ma’ani se khat’e saaghar’e raaqim sarshaar
( Asad* yaani Ghalib* aankh se dil tak partaw’e
shauq ka eik aaeena bana hua hai, yaani deeda o dil
donoN izhaar’e shauq meiN beitaab haiN, aur haqeeqat
ki sharaab se meira peyaala aakhri khatt tak
laba-lab bhara hua hai.)