दुआ की ताक़त हदीस के आईने में
1. Rasule Khuda (saww): 40 log milkar kisi kaam ke liye DUA kare to Allah Dua QUBOOL karta hai yahaan tak ke agar wo Dua kare to pah...

40 log milkar kisi kaam ke liye DUA kare to Allah Dua QUBOOL karta hai yahaan tak ke agar wo Dua kare to pahaad bhi hat jaaye.
(Sharh Dua e Kumail)
Jo Momin kisi zinda ya murda Momin ke liye Dua karega to Allah shuru se aakhir tak tamaam Momin ki tadaad ke barabar uske liye Nekiyaan likhega.
(Sawaabul Aamaal)
Jo Dua karta rehta hai uski Dua ZAROOR qabul hogi, jo Darwaza khatkhatata hai uske liye Darwaza khola bhi jaata hai.
(Roohul Hayaat)
Jab tum ko Riqqat aa jaaye (Dil bhar aaye) to DUA MAANG LIYA KARO kyunki Riqqat tab paida hoti hai jab Dil me khuloos ho.
(Meezan ul Hikmah)
Dua KARO aur ye NA kaho ke jo Taqdeer mein likkha hai wohi hoga, is liye ke Allah Qaadir e Mutlaq hai aur Dua taqdeer ko badal deti hai.
(Roohul Hayaat)
Allah bando'n ko unka RIZQ ek doosre ke zariye pahunchata hai. Lihaza Allah se ye DUA KARO ke tumhara Rizq nek bando ke zariye pahunchaye.
(Rizq)
Jis DUA ki shuruaat 'Bismillah hir Rahman ir Rahim' se ki jaaye, wo Allah ki bargaah mein radd NAHI hogi.
(Sharh Dua e Kumail)
Jo koi 10 martaba YA ALLAH kahega, to usay kaha jaayega "Labbaik, Mere Bande, MAANG JO BHI TERI HAAJAT HAI ke wo POORI KI JAAYEGI".
(Uddatud Dai)
Jab koi Momin kisi doosre Momin ke liye TANHAAI mein Dua karta hai, to uski balaayein tal jaayegi aur Rizq mein izaafa hoga.
(Mishkaat ul Anwaar)
Jo shakhs ILM haasil karne apne ghar se nikalta hai, 70000 Farishte uske pichhe chalte hain aur uske Haq mein Dua karte hain.
(Meezan ul Hikmah, v6)
Beemar ko milne jao aur unse tumhare liye Dua maangne kaho, kyunki unki Dua Farishto'n ki Dua ke barabar hai.
(Mishkaat ul Anwaar)

प्रतिक्रियाएँ: |