Bachho ko Talim aur ilm
1. Imam Ali (as): Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein. (Aasm...

Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein.
(Aasmani Nasihatein, v2, p123)
Bachche ko 7 saal tak khelne do aur doosre 7 saal usay adab (manners / eqituette / shishtachaar) sikhayein aur teesre 7 saal oos se kaam lene mein madad lein. Agar ye tarbiyat ke 3 maraahil muassir (effective / asar-kaarak) huwe to tumhara bachcha kaamyaab hai aur agar kuchh asar na huwa to wo be-tarbiyat hoga.
(Aasmani Nasihatein, v2, p124)
Jab bachche 7 saal ki umr ke ho jaayein to unhe alag alag sulaana chahiye.
(Aasmani Nasihatein, v2, p126)
Insaan jo bhi Sadqa deta hai usme Ilm ko phailaane se afzal koi Sadqa nahi hai.
(Meezan ul Hikmah, v6, p706)
Zyada Ilm ke saath thoda amal, thode Ilm aur shak o shubah ke saath zyada amal se behtar hai.
(Meezan ul Hikmah, v6, p687)
