YATEEM ,Rehmat,PASAND-NA PASAND,Aalim e Deen ki Maut, Rizq hadis

"(Take) Duniya wa Akherat mein (fikr karo) aur tum se YATEEMO ke bare mein sawal karte hain, kah do ke un  ke kaam ...





"(Take) Duniya wa Akherat mein (fikr karo) aur tum se YATEEMO ke bare mein sawal karte hain, kah do ke un


 ke kaam ki islah karna behtar hai aur agar apni zindagi ko unki zindagi mein mila lo (to koi harj nahi), wo tumhare deeni bhai hain, (aur unse ek Bhai ka sulook karo). Khuda Mufsedeen ko Musleheen mein se pahchanta hai aur agar Khuda chahe to tumhe zehmat o takleef mein dal de (aur hukm de de ke Yateemo ki sarparasti karne ke sath sath apni zindagi aur amwal kamelan unke Maal se juda rakho lekin aisa nahi karta), kiyonki Woh Tawanah aur Hakeem hai."
(Surah Baqarah: 220)

Imam Ali (as):
"Jab koi Momin kisi Yateem ke sar par hamdardi se haath pherta hai to Allah uske haath ke niche aaye HAR BAAL ke badle Neki likhta hai."
(Rehmat Aagosh e Tauba)
Rasule khuda(saww):
"Aye Ali ! Jibrail 7 wajah se insaan ban'na chaahte the, wo ye hai
(1) Namaaze Jamaat
(2) Aalimo'n ki sohbat
(3) Do logo'n me sulah karwana
(4) Yateemo'n ki izzat karna
(5) Beemaro'n ko milne jaana
(6) Janaaze me sharik hona, aur
(7) Zaairo'n ko paani pilaana.
(A Bundle of Flowers)

Imam Sajjad (as):
"Aye Maabuud! Apni maafi par meri zindagi ko tamaam kar aur Apni Rehmat ki ummeed me mere amal ko saabit qadam rakh…aur har haal me mere amal ko achcha kar de."
(Dua e Makaarimul Akhlaaq)

Imam Ali (as):
"Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato'n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye."
(Tajalliyaat e Hikmat)

Rasule Khuda (saww):
"Ek zamana aayega jab meri ummat 5 cheezei’n pasand karegi aur 5 cheezo’n ko napasand -
👉Wo is duniya ko pasand karegi aur iske baadwali duniya (Aakherat) ko bhool jaayegi,
👉Wo maal pasand karegi aur (Roz e) Hisaab ko bhool jayegi,
👉Mard duniya ki (Faahesha) aurato'n ko chaahenge aur Hoor ko bhool jayenge,
👉Wo oonchi imaarat (buildings) pasand karenge aur kabro'n ko bhool jaayenge aur
👉Wo apne aap ko pasand karenge aur Allah ko bhool jaayenge.
Aise log mujhe na-pasand karte hain aur main unhe."
(A Bundle of Flowers)
Imam Sajjad (as):

"Aye Rab! Mere dil mein parhezgaari daal aur paak se paak baat ki mujhe taufeeq de, jo kaam Tujhe pasand hai wohi mujh se le."
(Dua e Maqaarim Akhlaaq)
Imam Ali (as):
"Har oos kaam se bacho jo insaan apne liye to pasand karta ho aur aam Musalmaano'n ke liye usay na-pasand karta ho."
(Meezan ul Hikmah, v7)

1. Imam Sadiq (as):
Shaitaan ki liye Aalim e Deen ki Maut har Momin ki Maut se zyada mehboob hai.
(Usool e Kaafi, v1, p82)

2. Imam Kazim (as):
Jab koi Momin Faqih MAR jaata hai to Farishte uske liye rote hain aur zameen ke wo hisse rote hain jin par usne Allah(swt) ki Ibaadat ki ho.
(Usool e Kaafi, v1, p83)

3. Imam Sadiq (as):
Jab koi Aalim e Deen mar jaata hai to Islam mein aisi daraar padd jaati hai jise koi cheez bund nahi kar sakti.
(Al Kaafi, v1, p82)
(The death of a believer scholar causes such a cleft in (the fortress of) Islam as can never be repaired by anything)
(Al Kafi, v1, part 1, The Book Of Excellence Of Knowledge -2, p95)

Imam Ali (as):
"Jo apni Aakherat sa'nwaar lega, Allah uski Duniya sa'nwaar dega."
(Tajalliyate Hikmat)

Allah (swt):
"Kitne Maaldaar log is Duniya se gaye apna Maal yahin chhodkar aur Aakherat mein gaye Tanha, Gareeb aur apne kartuut pe sharminda?"
(Al-Hadith Al-Qudsi)

Hazrat Isa (as):
"Duniya aur Aakherat ki misaal [ek shakhs ki] 2 biwi jaisi hai. Wo agar ek ko raazi karega to doosri uspe gussa ho jaayegi."
(Mishkaat ul Anwaar)

Imam Ali (as):
"Duniya Daulat se haasil ki jaati hai aur Aakherat Amal se."
(Tajalliyate Hikmat)

Rasule Khuda (saww):
"Allah ne bewaqufo'n ko Rizq is liye ataa kiya taaki Aqalmand samajh le ke Rozi Haasil karne ka taalluk chhal, kapat, saazish, daga-baazi se NAHI hai."
(Rizq)

Rasule khuda (saww):
"Bande ka rizq usay uski maut se zyaada shiddat se (tezi se) talaash karta hai."
(Anecdotes for Reflection III)


-


Related

ahadith 5854138111974807058

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item