नाम रखना हदीस ऐ मासूमीन की नज़र से

1. All ah (swt) ke Naam 1. Rasule Khuda (saww): Allah ke 99 naam hai, jo koi Usay in naamo'n se pukarega uski Dua mustajab hog...



1. Allah (swt) ke Naam
1. Rasule Khuda (saww):
Allah ke 99 naam hai, jo koi Usay in naamo'n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat mein daakhil hoga.
(Uddatud Dai)

2. Allah (swt):
Main RAHMAN hoo'n aur RAHEM ko Maine Apne ek naam se banaya hai, lihaza jo Sil e Rahem (rishtedaro'n se neki) kare Main usko achcha Sila (reward) doo'nga.
(Mishkaat ul Anwaar (Urdu)

3. Imam Sadiq (as):
Jin kaagazo'n mein Allah ka naam likha huwa ho to usay hargiz nahi jalaana. Pehle jahaa'n jahaa'n zikr e Khuda ho usay mitaa do (erase it) phir unhe phaadd sakte ho, ya paani se dho sakte ho, ya arq e gulaab se dho daalo. Allah ne qalam se kaatne ya jalaane se manaa farmaya hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p151)

2. Jannat ke Naam
1. Rasule Khuda (saww):
Jannat mein ek ghar hai jiska naam 'Daar ul Farah' (Khushi ka ghar) hai. Usme sirf wohi shakhs jayega jo Momeneen ke Yateem bachcho'n ko khush karta hoga.
(Meezan ul Hikmah, v4, p739)


2. Rasule Khuda (saww):
Jannat mein 8 darwaze honge. Uske ek darwaze ka naam 'Rayyaan' hoga. Oos darwaze se sirf Roza-daar hi daakhil ho'nge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p376)

3. Makkah ke Naam
1. Imam Sadiq (as):
Makkah ke 5 naam hain:
1) Ummul Qura,
2) Makkah,
3) Bakkah,
4) Basaasah (yaani halaak karne wala Sheher aur is naam ki wajah ye hai ke jab bhi kisi zaalim ne Makkah ka rukh kiya to Allah ne usay halaak kar diya), aur
5) Umme Rahem, ye Rehmat e Khuda ka markaz hai, jo yahaa'n par reh jaata hai to Allah ki Rehmat ka mustahaq (eligible) ban jaata hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p138)
2. Imam Sadiq (as):
'Makkah' poore sheher ka naam hai aur 'Bakkah' oos makhsoos jagah ka naam hai jahaa'n Baitullah (Khaane Kaaba) hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p138)

4. Rasule Khuda (sawa) Ke Naam
1. Imam Sadiq (as):
'Yaseen' H. Rasule Khuda (saww) ka naam hai aur 'Aal e Yaseen' hum hain.
(Irshadaat e Masumeen (as), p113)

2. Imam Sadiq (as):
Hamare yahaa'n jo bachcha bhi paida hota hai, hum uska naam 'Muhammad' rakh dete hain. Aur jab 7 din guzar jaayein to agar chahein to naam badal dete hain ya usay bahaal (continue) rakhte hain.
(Wasaail ush Shia, v15, p122)

3. Rasule Khuda (saww):
Jab koi giroh kisi baat par mashware ke liye jamaa ho to unme aisa shakhs aa jaaye jiska naam MUHAMMAD ya AHMAD ho aur wo log usay mashware mein shaamil kar le to unhe bhalaai naseeb hogi.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p80)

4. Imam Baqir (as):
Rasulallah (saww) ka naam H. Ibrahim (as) ke sahifo'n mein 'Haani' tha aur H.Musa (as) ki Taurait mein 'Haad' aur H. Isa (as) ki Injeel mein Ahmed (saww) hai aur Quran e Majeed mein Muhammad (saww) hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p125)

5. Rasule Khuda (saww):
Saahi maani mein Kanjoos wo hai ke jiske saamne mera naam lene mein aaye aur wo mujh par Durood (Salwaat) na bheje.
(Meezan ul Hikmah)

6. Riwayat:
Riwayat mein hai ke jab bhi Imam Jafar Sadiq (as) Rasule Khuda H. Muhammad Mustafa (saww) ka naam sunte the to adab se sar jhukaate the aur unpar Salwaat bhejte the.
(al-islam.org/encyclopedia)

5. Janabe Fatima (s.a) Ka Naam
1. Imam Sadiq (as):
J. Fatima (sa) ka naam Zahra is liye hai ke jab wo moazzama Mehraab e Ibadat mein khadi hoti thi to aap ka noor aasmaan waalo'n ke liye is tarah chamakta jis tarah zameen waalo'n ke liye Chaand chamakta hai.
(Elal ush Sharaaye, p137)
2. Imam Sadiq (as):

H. Fatima Zahra (sa) ka ek naam Muhaddisa hai aur Muhaddisa oos khaatun ko kaha jaata hai jis se Malaaika guftagu karte ho'n.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p75)

3. Rasule Khuda (saww):
Main ne apni dukhtar ka naam Fatima (sa) rakkha kyun ki Allah ne unhe aur unke mohibbo'n ko Dozakh se azaad kiya huwa hai.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p112

4. Imam Sadiq (as):
Bibi Fatima (sa) ke liye Allah ke yahaa'n 9 naam hai:
1) Fatima (sa),
2) Siddiqa (sa),
3) Mubaraka (sa),
4) Tahira (sa),
5) Zakiya (sa),
6) Raziya (sa),
7) Marziya (sa),
8) Muhaddisa (sa) aur
9) Zahra (sa).
(Amaali - Shaikh Sadooq, p552)

6. Insaan ka Naam Insaan Q
Imam Sadiq (as):
Insaan ka naam Insaan is liye rakkha gaya kyun ki usko Nisyaan hota hai, yaani wo bhool jaata hai.
(Elal ush Sharaaye, p11)

7. (six) 6 Paighambaro'n ke 2 Naam hain

Imam Ali (as):
6 Paighambaro'n ke 2 naam hain:
1) H. Yusha bin Noon (as) ya Zulkifl,
2) H. Yaqoob (as) ya Israel,
3) H. Khizr (as) ya Hilqqiya,
4) H. Yunus (as) ya Zun Noon,
5) H. Isa (as) ya Maseeh,
6) H. Muhammad (saww) ya Ahmed (saww).
(Khisaal, ch6)

8. Ameerul Momeneen (a.s)
Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke kya Qaem e Aal e Muhammad (Imam e Zamana) (atfs) ko Ameerul Momeneen keh kar salaam karna jaayez hai? Aap ne farmaya, "Ye wo naam hai jis se Khuda Wande Aalam ne sirf aur sirf H. Ameer (H. Ali) (as) ko makhsoos kiya hai. Na aap se pehle kisi ka ye naam rakkha gaya aur jo aap ke baad apna ye naam rakhega wo kaafir hoga…"
(Wasaail ush Shia, v10, p328)

9. Duniya ka Naam
1. Imam Ali (as):
Duniya ka naam duniya rakkha hi isi liye gaya hai ke ke wo har shai (cheez) se pust (inferior / heen) hai aur Aakherat ko Aakherat is liye kehte hain ke usme jazaa o sawaab hai.
(Meezan ul Hikmah, v3, p533)

2. Rasule Khuda (saww)
se sawaal huwa ke duniya ko duniya kyun kehte hain? Aap (saww) ne farmaya, "Kyun ki duniya pust (inferior / heen) hai aur Aakherat ke baghair khalq huwi hai. Agar Aakherat ke saath khalq hoti to jis tarah Aakherat waalo'n ke liye fanaa nahi hai, isi tarah duniya waalo'n ke liye bhi fanaa na hoti". Raawi ne phir puchha, "Mujhe bataayein ke Aakherat ko Aakherat kyun kehte hain?" Aap (saww) ne farmaya, "Is liye ke ye pichhe hai aur duniya ke baad aayegi, jiske na to saalo'n ki tauseef ki jaa sakti hai, na hi uske dino'n ka shumaar ho sakta hai aur na hi uske rehne waalo'n ko maut aayegi".
(Meezan ul Hikmah, v3, p534)

10. Bachcho ke Naam
1. Imam Ali (as):
Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein.
(Aasmani Nasihatein, v2, p123)

2. Rasule Khuda (saww):
Jis shakhs ke yahaa'n 4 bete paida ho'n aur wo unme se kisi ek ka naam bhi mere naam par na rakhe to usne mujh par jafaa ki.
(Wasaail ush Shia, v15, p122)

3. Rasule Khuda (saww):
Jab tum apne farzand ka naam 'Muhammad' rakkho to uska ehteraam karo…
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p80)

11. Iblees ka Naam
Imam Reza (as):
Beshak Iblees ka naam HAARIS hai. Allah Azz wa Jall ka qaul: 'Ya Iblees' ke maani faqat 'Aye Na-farmaan' hai, aur kyun ki Allah Azz wa Jall ki Rehmat se wo maayus ho gaya is wajah se uska naam Iblees rakkha gaya.
(Ma'ani al Akhbaar, v1, p184)

12. Jahannum ke ek maidaan ka Naam

Imam Sadiq (as):
Jahannum mein Takabbur karne walo'n ke liye ek maidaan hai jiska naam 'Saqar' hai. Usne Allah se shiddat e haraarat (bahut zyada taapmaan / extreme heat) ki shikaayat ki aur ye sawaal kiya tha ke ek saa'ns lene ki ijaazat mil jaaye. Ijaazat mili to uske liye huwe ek saa'ns se saara Jahannum jal uthha.
(Irshadaat e Masumeen (as), p121)

13. Juma ka Naam 
1. Imam Baqir (as):
Roz e Juma ka naam Juma is liye rakha gaya ke Allah Ta'ala ne is din Apni tamaam makhlooq ko jamaa kar ke H. Rasulallah (saww) aur aap (saww) ke Wasi (H. Ali (as)) ki Wilayat ka sab se Ahad (pledge) liya.
(Irshadaat e Masumeen (as), p125)

2. Imam Baqir (as):
Juma ke din Allah ne jamaa kiya tha apni makhlooq ko Wilayat e Muhammad (saww) aur Wasi e Muhammad (as) ke liye, is liye is din ka naam Juma rakha gaya.
(Furoo e Kafi, v2, p210)


Related

ahadith 7144269714239986187

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item