सिफ़ात ऐ मोमिन हदीस के आईने में
1. Imam Sadiq (as): Momin ka rutba (status) Khana e Kaaba ki hurmat se buland hai. (Khisaal, p41) 2. Imam Sadiq (as): Momin in...

Momin ka rutba (status) Khana e Kaaba ki hurmat se buland hai.
(Khisaal, p41)
Momin insaan ka ehteraam hurmat e Kaaba se zyada hai.
(Aasmaani Nasihatein, v1, p30)
Badtareen sach kehna ye hai ke insaan apni taarif kare.
(Aasmani Nasihatein, v1, p63)
Wo cheez jiska kehna munasib nahi hai - agar ye chaahe Haq hi kyun na ho - insaan ki khud apni taarif karna.
(Tajalliyate Hikmat)
Shareef ko jab zyada izzat di jaati hai to wo bhi izzat o ehteraam se jawaab deta hai aur jab oos se sakhti ki jaati hai to wo bhi sakhti se jawaab deta hai. Jab ke kameene ko jab izzat di jaati hai to wo sakhti se jawaab deta hai aur jab oos se sakhti ki jaati hai to wo fauran narm padd jaata hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p113)
Insaan ke 2 kaandho'n par 2 Farishte muqarrar hain. Daayein jaanib (right side) wala Farishta baayein jaanib (left side) waale par haakim aur ameer hai. Jab insaan koi bura amal anjaam deta hai to daayein jaanib wala baayein jaanib wale se kehta hai, "Likhne mein jaldi mat kar, usko 7 ghanto'n (7 hours) ki mohlat de'. Jab 7 ghanto'n ki mohlat khatm ho jaaye aur wo shakhs Tauba na kare to phir wo daayein jaanib wala kehta hai, "Likho, ye shakhs kitna be-hayaa aur be-sharm hai".
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p154)
Khuda wande Aalam ne Ambiya (as) mein se ek Nabi ki taraf Wahi bheji ke wo Momino'n se kahe ke libaas, khoraak, aadaab aur rasm o riwaaj mein dushman e Khuda ko namuna (ideal) na banaayein. Agar aisa karoge to tum bhi unki tarah dushman e Khuda hoge.
(Aasmani Nasihatein, v1, p40)
(Kafi, Part 12, Page 211)
Sab se achcha wo shakhs hai jo marte waqt 3 cheezein chhor kar jaaye:
1) Nek farzand chhor kar jaaye jo uske liye Astaghfaar karta rahe,
2) Koi achchi sunnat aur rawish chhoor kar jaaye jin par iske baad (is amal e khair mein) uski iqteda (follow) ki jaaye,
3) Aisa Sadqa Jaariya kare jo uske baad bhi jaari rahe (maslan (for eg.) koi Masjid banaa kar jaaye).
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p228)
Khuda se itne zyada ummeedwaar mat ho jaao ke gunaaho'n par diler ho jaao aur na hi itne khauf-zada ho jaao ke Uski Rehmat se maayus ho jaao.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p23)
Husn e sulook (achcha bartaav) oon logo'n se shuru kare jo aap ke ayaal (family members) hain.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v4, p296)
Husn e sulook (achcha bartaav) oon logo'n se shuru kare jo aap ke ayaal (family members) hain.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v4, p296)
ne Surah Maaida ki Ayat no 32 ki tafseer farmaate huwe kaha ke, "Jisne ek insaan ko gumraahi se nikaal kar hidaayat mein daakhil kiya hai, goya isne usko zinda kiya aur jisne kisi ko hidaayat se nikaal kar gumraahi mein daakhil kiya to Khuda ki qasam isne usko qatl kiya".
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p200)
Zabaan ka haq ye hai ke usay gaali galoch se mehfooz rakho aur usay nek aur shaaista baat kehne ka aadi banao, usay ba-adab banao….
((The right of the tongue is that you consider it too noble for obscenity, accustom it to good, force it to politeness...)
(Risalatul Huqooq, ch.Zabaan ka Haq)
Allah Ta'ala saheb e Hayaa aur iffat (vinay) waale shakhs se mohabbat karta hai aur fahash (ashleel) bakne aur gaaliyaa'n dene wale aur bure saail se bugz rakhta hai.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p110)
Aqalmand-tareen insaan Neki kar ke bhi darta rehta hai aur jaahil-tareen insaan buraayi kar ke bhi mutmaeen rehta hai.
(Meezan ul Hikmah, v2, p253)
Jo jawaab dene mein jaldi karta hai wo sahi baat nahi bataa sakta.
(Meezan ul Hikmah, v2, p293)
Khauf e Khuda ka matlab rona aur aa'nsu bahana nahi hai, kyun ki jab Taqwa na ho jo usay gunaaho'n se roke, ye khauf jhoota hai.
(Fear of God does not mean weeping or shedding tears, for as long as there is no piety which keeps him from sins, the fear is false)
(Uddatud Daee, ch4)
Madine mein aisi qaum aabaad thi jinme Aib paaye jaate the (magar) wo logo'n ke aibo'n par bhi parda-poshi karte (logo'n ke aib chhupate) the. Lihaza, Allah Ta'ala ne logo'n ke saamne unke aibo'n par parda-poshi kar di. Jab wo mar gaye to logo'n ke nazdeek unke koi aib na the. Madine mein ek aur qaum bhi thi jinke andar (ba-zaahir) koi aib nahi paaya jaata tha, lekin wo logo'n ke aibo'n ke baare mein guftagu kiya karte the to Allah Ta'ala ne unke aibo'n ko zaahir kar diya aur unke aibo'n ko logo'n ne jaan liya aur yahaa'n tak ke wo mar gaye lekin logo'n ki nazro'n mein aib-daar mash'hoor rahe.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p123)
Paidal chalna (walking) sehet o salaamati ke liye behtareen dawaa hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p71)
Jo shakhs bando'n ka shukriya adaa nahi karta wo Allah Ta'ala ka bhi shukr adaa nahi karta.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v4, p296)
…Jab sakhtiyo'n mein ghir jao to 'Ya Raoofo Ya Raheem' bahut zyada kaha karo…
(Meezan ul Hikmah, v1, p731)
"Mujhe Tajjub hota hai us Shaks par jo Momeen ki kuch Galtiyo ko Pahaad banaa ke dikhaate hai aur unka dil dukhaate hai aur hame jo nahi maanta usme 1000 galtiya hoti hai phir bhi uske saamne haste hai aur khush rehte hai. Yaad rakho yahi wajah banegi tumhaari duniya ki balaao ki aur akherat mei hum tumhara garebaan pakad ke is amal ka jawaab Maangenge."
(Furue Kaafi, vol. 2, pg 335)
Nekiyo'n ka hukm do aur oon par AMAL bhi karo..aisa na ho ke tum khud gunaah karke apne Rab ke gazab ka nishaana ban jao.
(Gorar ul Hakam)
Jo shakhs ALI (A.S.) ko phehchaan liya woh Momin hai aur jis ne nahi phehchaana woh kafir hai.
(Usul e kafi 2/238)
Agar Momin pahaadh ki choti par bhi rehne lage, to Allah wahan bhi ek aise shaks ko bhejega jo usko azeeyat pahonchaye, taaki Allah us Momin ko iska Ajr de.
(Elul al Sharaaye, Pg.33(02))
Allah JO KUCHH Momin ke saath karta hai wo uske BHALE ke liye hota hai. Musibat uske Gunaaho'n ka Kaffara hai aur Ataa o Karam yaani Allah usay chaahta hai.Salwat
(Tuhfa ul Uqool)
Jo shakhs bagair haajat kisi se sawaal karega to marte dum tak kabhi na kabhi Allah Ta'ala usko mohtaaj bana dega aur uske liye Jahannum ka parwana likh diya jaayega.
(Man La Yajharul Faqih)
Jiski baatein kam ho jaati hai uske gunaah kam ho jaate hain.
(Tajalliyaat e Hikmat)
Jab bhi 3 Momin saath hote hain to oon mein se kisi bhi 2 ka aapas mein ek doosre ke kaan mein baat karna sahi nahi hai, is se teesre ko takleef hoti hai. (Mishkaat ul Anwaar)
Ek Momin ki taraf se doosre Momin par WAAJIB hai ke uske 70 Kabira Gunaaho'n (Greater Sins) ko chhipaaye.
(Meezan ul Hikmah, v7)
Musibat ke aalam mein bhi Mutmaeen (satisfied) nazar aao aur mushkilaat ke bawajood khush raho.
(Gorar ul Hakam)
Apne kisi bhai ki musibat par khushi ka izhaar NA karo kyunki Allah uspar to rahem karega aur wohi musibat tumhari taraf fer dega.
(Meezan ul Hikmah, v7)
Momin ke liye SUBAH ke waqt munaasib NAHI hai ke bagair kuchh khaaye baahar jaaye kyunki Subh ko khaa kar jaana Zyaadti e Izzat ka sabab banti hai.
(Tehzibul Islam)
Jannat Mushkilaat aur Sabr me ghiri huwi hai, lihaza jo shakhs duniya me mushkilaat par Sabr karega wo Jannat me jayega.
(Meezan ul Hikmah, v2)
Mujhe Tajjub hota hai us Shaks par jo Momeen ki kuch Galtiyo ko Pahaad banaa ke dikhaate hai aur unka dil dukhaate hai aur hame jo nahi maanta usme 1000 galtiya hoti hai phir bhi uske saamne haste hai aur khush rehte hai. Yaad rakho yahi wajah banegi tumhaari duniya ki balaao ki aur akherat mei hum tumhara garebaan pakad ke is amal ka jawaab Maangenge.
(Furue Kaafi, vol. 2, pg 335)
Jise Jaza Milne Ka Yaqeen Hota Hai Wo Naiki Par Kisi Baat Ko Tarjeeh Nahi Daita.
(Aqwal_e_Masomeen, P18)
Momin Mein 6 Ausaaf Nahi Hote.
>Dhoka
>Talkhi
>Jhoot
>Anaad
>Hasad
>Sarkashi.
(HidayaT ush_Shia, P#377)
Uski IBAADAT jo Haraam tarike se apni ROZI kamaata hai, aisi hai jaise reti par banaayi gayi imaarat.
(A Bundle of Flowers)
Jo koi apne biraadar e Momin ke aib/khaamiya'n chhupayega to Qayamat ke din Allah uske aib chhupyega.
(Mishkaat ul Anwaar)
se poochha gaya ke Momeneen mein sabse afzal Imaan kiska hai? Aap ne farmaya "Uska Imaan afzal hai jiska AKHLAAQ (manners) sabse behtar hai."
(Al Kaafi, v2)
i) Imam Baqir (as):
Kisi makhlooq ka makhlooq ke saamne sawaal mein giddgiddana Khuda ko bahut na-pasand hai magar Khuda ke saamne giddgiddana mehboob hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p133)
Agar tumhe (khauf e Khuda) mein rona na aaye to rone ki soorat hi bana liya karo. Aur agar aa'nkh se makkhi ke sar ke barabar bhi aa'nsu baahar aa jaaye to phir kya hi baat hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p668)
Makhfi (tanhaayi mein kiye huwe) sajdo'n se zyada koi cheez bande ko Khuda ka muqarrab nahi banaati.
(Hadiyat ush Shia, p42)
Jab banda Sajde mein apne Rab se Dua kar raha hota hai, oos waqt wo Allah se zyada qareeb hota hai.
(Meezan ul Hikmah, v8, p193)
