ग़दीर और हदीस ऐ मासूमीन

★EID - E - GHADEER★ 🔹🔸🔹🔸🔹🔸 1⃣Imam Sadiq (a.s): Hazrat Ali ibne Abi Taalib (a.s) ke saath jo huwa uspar mujhe ta'jjub hota ...



★EID - E - GHADEER★
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
1⃣Imam Sadiq (a.s):
Hazrat Ali ibne Abi Taalib (a.s) ke saath jo huwa uspar mujhe ta'jjub hota hai. Hazaaro'n gawaah hone ke bawajood wo apna haq nahi haasil kar sake, jab ke kisi shakhs ko apna haq haasil karne ke liye sirf 2 gawaah chahiye.
(Bihaar ul Anwaar, v37)
2⃣Imam Baqir (a.s):
Islam 5 buniyaad par qayam hai - Namaz, Zakat, Roza, Hajj aur Wilayat. Aur kisi ke liye LOGO'N KO ELAAN NAHI KIYA GAYA jaise Wilayat ke liye Ghadeer ke din hua.
(Al Kaafi, v2)
3⃣Imam Sadiq (a.s):
Eid-e-Ghadeer ke din ROZA rakhne ka sawaab DUNIYA KI PURI HAYAAT roza rakhne ke barabar hai (equivalent to fasting the time span of the existence of the entire world). Yaani agar kisi shakhs ko is DUNIYA KI UMR ke jitni umr mile aur wo is puri zindagi roza rakhe to in rozo'n ka sawaab is (Eid e Ghadeer ke EK DIN KE) ROZE ke barabar hoga.
(Wasaail ash Shia, v7)
4⃣Imam Sadiq (a.s):
(Ghadeer ke din) ek dirham aise biradare momin ko dena jo (is din ki azmat aur ehmiyyat ki) maarefat rakhta ho, kisi aur din 1000 dirham dene se behtar hai. Lihaaza, is din apne bhaiyo'n ko (Eidi) do aur momin aur momenaat ko khush karo.
(Misbahul Mutahajjid)
5⃣Imam Reza (a.s):
Jo Eid-e-Ghadeer ke din kisi Momin ko milne jaayega, Allah 70 kism ke Noor uski kabr mein ataa karega aur uski kabr ko kushaada (expand) karega aur rozana 70000 farishte usse kabr mein milne aayenge aur Jannat ki basharat denge.
(Iqbal al Amal)
6⃣Imam Sadiq (a.s):
Jo Eid e Ghadeer ke din kisi bhi waqt 2 rakat Namaz padhe magar afzal ye hai ke zawaal (mid-day) ke kareeb padhe...(iska sawaab ye hai) ke jaise woh oos din (Ghadeer e Khumm) mein maujood tha.
(Wasaail ash Shia, v5)
7⃣Imam Sadiq (a.s):
Is (Eid-e-Ghadeer ke) din nek aamal karne ka sawaab 80 mahine (nek aamal) ke barabar hai; aur ye taakid hai ke (is din) Allah – Azz wa Jall – ka zyada se zyada zikr karo / yaad karo, aur Nabi e Akram (saww) par Salwaat bhejo; aur ek mard ko apne ghar waalo'n ko (tohfe aur bakshish) ataa karna chahiye.
(Wasaail ash Shia, v7)
8⃣Imam Sadiq (a.s):
Allah ki Qasam, agar logo'n ko is (Eid e Ghadeer ke) din ki sahi fazilat maalum ho jaati toh malaaeka unse rozana10 martaba musafeha karte…aur oos shakhs ko - jise is din ki (azmat ki) maarefat hai - Allah itna ataa karega ke jiska shumaar bhi nahi ho sakta.
(Misbahul Mutahajjid)
9⃣Imam Sadiq (a.s):
Ye (Eid e Ghadeer) Allah ki Eid e Akbar hai, aur Allah ke mab'oos kiye har Nabi ne ye Eid manaayi aur iski hurmat ko jaana…
(Wasaail ash Shia, v5).
1⃣0⃣Rasulallah(sawa)
Ye mumkin nahi ke Ali ibne Abi Talib(as) ki fazilato ko shumar kiya ja sake. Agar koi Ali ibne Abi Talib(as) ki ek fazilat ko yakin rakhte huwe bayan kare to Allah(swt) oske pichle aur aainda ke gunaho ko maaf kar dega. Aur agar koi is fazilat ko likhe, to jab tak wo tehrir baki rahegi maleka oske liye istegefar karte rahenge.
(Ref Bihar al Anwar V26 p229 H10)
1⃣1⃣Rasule Khuda (saww):
Mujhe apne Rab ki izzat ki qasam! Meri tamaam ummat ko Qayamat ke din thhehraya jayega aur unse Ali ibne Abi Taalib (as) ki Wilayat ke mutalliq puchha jayega, jaisa ke Allah ka farmaan hai, "Unhe roko, unse sawaal kiya jayega" (Surah Saaffaat, Surah 37, Ayat 24). Is Ayat ka talluq Wilayat e Ali (as) se hai".
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p219)
1⃣2⃣Rasule Khuda (saww):
Allah ne farmaya, "Agar tamaam log Wilayat e Ali (as) par muttafiq (sehmat) ho jaate to Main Dozakh ko khalq hi na karta".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p610)
1⃣3⃣Imam Reza (as):
Tum jahaa'n bhi ho har haalat mein H. Ameer (as) ki bargaah mein haazir ho, kyun ki Khuda wande Aalam (Ghadeer ke din) har Momin o Momena aur Muslim o Muslima ke 70 saal ke gunaah maaf karta hai aur oos se 2 guna (double) logo'n ko Jahannum se azaad karta hai jis qadar Maah e Ramzan mein aur Lailatul Qadr mein aur shab e Eid ul Fitr mein azaad karta hai. Aur tumhara is din Momin bhaiyo'n par Ek dirham kharch karna 1000 dirham ke barabar hai. Pus, tum is din apne (imaani) bhaiyo'n par meherbaani karo aur Momin o Momena ko shaad / khush karo.
(Wasaail ush Shia, v10, p227)
1⃣4⃣Imam Sadiq (as):
Ek Neki ke badle Allah 10 Nekiyaa'n deta hai, lekin Neki ke liye WILAYAT E ALI (as) ZARURI HAI. Jo shakhs aqeeda e Wilayat rakh kar Neki kare to usay har Neki ke badle kam az kam 10 Nekiyo'n ka ajr milta hai. Agar aqeeda e Wilayat ke bagair koi shakhs Neki karta hai to uski Nekiyo'n ki wajah se dunyaavi takleef khatm kar di jaati hai lekin AKHERAT MEIN USKA KOI HISSA NAHI HOTA.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p313)
1⃣5⃣Imam Sadiq (as):
…Juma Musalmano'n ki Eid hai jo Eid ul Fitr aur Eid ul Qurban se bhi afzal hai. Aur 18 Zilhajj yaani Eid e Ghadeer tamaam Eido'n se afzal hai. Aur hamare Qaem e Aal e Muhammad (atfs) Juma ke din zahoor farmayenge aur Qayamat bhi Juma ke din qayam hogi. Aur Juma ki din sab se afzal amal sarkaar e Muhammad o Aal e Muhammad (as) par Durood o Salaam bhejna hai.
(Wasaail ush Shia,v5, p69)
1⃣6⃣Imam Reza (a.s):
Ghadeer me Imam Ali (a.s) ki wilayat Hazrat Aadam (a.s) ke sajde ki tarah thi. Qubul karne wala farishto se bhi afzal th aur inkaar karne wala Iblees (la) se bhi badtar tha.
(Awalam Page :90)
1⃣7⃣Rasule Khuda (saww):
…Khuda ki qasam! Agar koi shakhs Rukn aur Maqaam (Masjidul Haraam Makkah mein) ke darmiyaan khade ho kar hamesha Namaz adaa karta rahe lekin wo Allah Ta'ala ki bargaah mein is haalat mein pesh ho ke Ahlebait (as) se bugz rakhta hoga to Allah Ta'ala usko Jahannum mein daal dega.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p67)
1⃣8⃣Rasule Khuda (saww):
H. Jibreel (as) mere paas aaye aur kaha, "…Ya Rasulallah (saww)! Allah ne aap ki taraf Wahi farmayi hai ke Ali (as) ki fazilat ke baare mein jo shakhs bhi aap (saww) ki mukhalefat karega wo Jahannum mein jayega aur jo aap ki ita'at karega wo Jannat mein jaayega..
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p311)
1⃣9⃣Imam Baqir (as):
Wilayat e Ali (as) ke inkaar karne walo'n ko Allah ki taraf se dhheel di jaati hai aur unpar dunyawi ne'maat ki baarish ki jaati hai. Uske baad Khuda ki taraf se unki giraft hoti hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p193)
2⃣0⃣Imam Sadiq (as):
Khuda ne Ali (as) ko Apne aur Apni makhlooq ke darmiyaan alaamat (nishani) banaya hai. Pus, jisne unki maarefat haasil ki wo Momin hai aur jisne inkaar kiya wo Kaafir hai aur jo unse jaahil raha wo gumraah hai aur jisne unke saath kisi shay ko qaaem kiya wo Mushrik hai. Jisne unki Wilayat ka iqraar kiya wo daakhil e Jannat huwa aur jisne unse adaawat ki wo waasil e Jahannum huwa.
(Al Kaafi, v4, p360)
2⃣1⃣ Imam Sadiq (as):
Awwalin aur Aakherin mein se sirf wohi Jannat mein daakhil hoga jo H. Ali (as) ko dost rakhta hai aur Awwalin aur Aakherin mein sirf wohi Jahannum mein daakhil hoga jo H. Ali (as) se dushmani rakhta hai. Pus Ali (as) Jannat aur Jahannum ke taqseem karne waale hain.
(Manaaqib Ameerul Momeneen (as), p385)
2⃣2⃣Rasule Khuda (saww):
Aye Ali (as)! Aap Jannat aur Jahannum ke taqseem karne wale hain. Aap Jannat ke darwaze ko khatkhatayenge aur apne chahne- walo'n ko be-hisaab Jannat mein daakhil karenge.
(Manaaqib Ameerul Momeneen (as), p386)
2⃣3⃣Imam Sadiq (as):
(Eid e Afzal - Eid e Ghadeer) Jis roz Ameerul Momeneen (as) Imam e Khalq banaye gaye wo Eid dono Eido’n se afzal o ashraf hai. Is din Roza rakho aur Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par bahut zyada durood bhejo aur unke zaalimo’n se bezaari zaahir karo. Ambiya (as) apne apne Awsiya ko aaj ke din Roza rakhne ka hukm dete the aur apna Wasi is din banaate the aur is din Eid manaane ka hukm dete the...”
(Furoo e Kafi, v3, p325)
●○●○●○●○●○●○●○●○●○
Ghadeer Naama
Kamaal e deen e khuda ko GHADEER kahte hein,
Risalato'n ki baqa ko GHADEER kahte hein,
Ada e ahd e wafa ko GHADEER kahte hein,
Munafiqo'n ki saza ko GHADEER kahte hein,
Ye deen e haq ye shareeat baqa pazeer na ho,
Jaha'n me'n kuch bhi na rah jaae gar GHADEER na ho!
----------------------------------------
GHADEER markaz e sidq o safa ko kahte hein,
GHADEER mamlakat e murtaza a.s ko kahte hein,
GHADEER manzil e ahle wafa ko kahte hein,
GHADEER eid e rasool e khuda saww ko kahte hein,
Bahaar e qalb ka qissa tamaam ho jaae,
Ye din na ho to tabassum haraam ho jaae!
----------------------------------------
Sahabiyat ki hasee'n shaam bhi GHADEER se hai,
Wiqaar e buzar o salmaan bhi GHADEER se hai,
Rago'n me'n khoon ka dauraan bhi GHADEER se hai,
Khuda parasto'n ki pehchaan bhi GHADEER se hai,
Koi nishaan koi khat koi lakeer nahi'n,
Waha'n pe deen nahi'n hai jaha'n GHADEER nahi'n!
----------------------------------------
Hui rasool saww ke haatho'n ada e farz e GHADEER,
Muhibbe aalam o imkaa'n hai tool e arz o GHADEER,
Utar sakega na ahl e falaq se qarz e GHADEER,
Balandiyo'n ke liye rahnuma'n hai arz e GHADEER,
Najoom taa'nk ke raushan jaha'n banae gaye,
Isi zamee'n ke liye aasma'n banae gaye!
----------------------------------------
Khuda jjh ke deen ko dirham me'n taulne waale,
Miyaan e kaasa e dil zahar gholne waale,
Zaba'n nifaaq ke lahje me'n kholne waale,
Khilaaf e sayyade laulaak bolne waale,
Tujhe lahad me'n aseer e azaab kar dega,
Ali a.s ka bughz hai mitti kharaab kar dega!
----------------------------------------
Munafiqo'n ko saza shola baar deta hai,
Talaash e daste ajal ko shikaar deta hai,
Bukhaar e bughz e wilayat utaar deta hai,
Har ek ahad ke haaris ko maar deta hai,
Najis qadam raah e mohlat ko modta hi nahi'n,
Khuda GHADEER ke dushman ko chodta hi nahi'n!
----------------------------------------
Nuzool e aafat o aalaam dekhte rahiye,
Sipaah e shaam ki phir shaam dekhte rahiye,
Tamaam hota hai bas kaam dekhte rahiye,
Hasad ke maaro'n ka anjaam dekhte rahiye,
Badan se parat e adawat utaar daalegi,
Inhe'n GHADEER ki mahfil hi maar daalegi!
----------------------------------------
Bahaar e husn e ibadat ka naam hai kaaba,
Kamaal e ishq o mubabbat ka naam hai kaaba,
Faheem e ramz e wilayat ka naam hai kaaba,
Ali a.s ki jaa e wiladat ka naam hai kaaba,
Jo log bughz e ali a.s me'n tawaaf karte hein,
Wo aaene ko siyaahi se saaf karte hein!
----------------------------------------
Mile nazar ko nazaara kaha'n ho husn e nazar,
Chala huzoor saww ko lekar buraaq e nek siyar,
Wo gaam gaam nishaani wo noor ka manzar,
Bada haseen hai meraaj e mustafa saww ka safar,
Wasi wazeer khalifa wali se milke chale,
Khuda jjh se milne gaye the ali a.s se milke chale!
----------------------------------------
Chidaa jo qissa e meraaj mu'nh banane lage,
Siyaah qalb pe baar e alam uthaane lage,
Bisaat shaazish e inkaar ki bichaane lage,
Ali a.s ka naam liya aap tilmilaane lage,
Falaq pe lahja e pur iltefaaq kiska tha,
Waha'n ali a.s nahi'n the to haath kiska tha!
----------------------------------------
Shaur e husn e talab ko jagana padta hai,
Faseel e daar pe khud ko sajana padta hai,
Lahoo jigar ka sina ko pilaana padta hai,
Kabhi kabhi to bhara ghar lutaana padta hai,
Guhar ye kaasa e kamzaat me'n nahin milta,
Ali a.s ka ishq hai khairaat me'n nahin milta!
----------------------------------------
Ameer e khum ki riyaya bulaayi jaaegi,
Badi hi dhoom se mehfil sajayi jaaegi,
Haraarat e dil e imaa'n badhaayi jaaegi,
Ali a.s ke naam pe jannat lutaai jaaegi,
Chaman chaman sar e mahshar kali kali hoga,
kasam khuda jjh ki waha'n bhi ali ali a.s hoga!
----------------------------------------
Naseeb sabko kaha'n hai shaaur e rindaana,
Har ek aabid o zahid hai iska diwaana,
Ba hasb e zarf e aqeedat milega paimaana,
GHADEER E KHUM me'n khula hai ajeeb maikhaana,
Falaq se  jashn e wila ke bahaane aate hein,
Yaha'n farishte bhi peene pilaane aate hein!
----------------------------------------
Bani hai ishq e janab e ameer me'n phir bhi,
Dhali hai marzi e rabb e qadeer me'n phir bhi,
Mili hai ahl e wila ke khameer me'n phir bhi,
Isi rasool saww ne pi hai GHADEER me'n phir bhi,
Udaas udaas hein nazre'n khtak rahi hai sharaab,
Sahabiyo'n ke gale me'n atak rahi hai sharaab!


Related

ahadith 8379510445923895874

Post a Comment

emo-but-icon

Follow Us

Hot in week

Recent

Comments

इधर उधर से

Comment

Recent

Featured Post

नजफ़ ऐ हिन्द जोगीपुरा का मुआज्ज़ा , जियारत और क्या मिलता है वहाँ जानिए |

हर सच्चे मुसलमान की ख्वाहिश हुआ करती है की उसे अल्लाह के नेक बन्दों की जियारत करने का मौक़ा  मिले और इसी को अल्लाह से  मुहब्बत कहा जाता है ...

Admin

item