Tabarrukaat tabarruk ki jama hai jis ke mani who shai jo barakat ka sabab ho oski asl baraka hai oske logavi mana kisi janwer ko jhokana our kisi ko nemat bakshna . brakat ke mani inaam our atiya osi se nikla hai tabreek yani nemat ya bayese brakat shai. Mahe sayam isliy ki allah apne fazl aur apni nematon se apne bandon ko khushhal banadeta hai islye Ramzanul mobarak kahte hain. aur allah ko allah tbaraka wa taala kehte hain
Sahebe barakat allah
Khuda ne khud apne liye quraane pak main kai jagh babrakat hone ka alaan kiya hai.
Ba barakat hai wo zaat jis ke qabze main mulk hai jo har cheez par qadir hai jis ne mout hayat ko tumhari azmaish ke liye khalk kiya taki who dekhe tum main sab se achche amal wala koun hai (surae mulk ayt 1)
Ba barakat hai who zaat jis ne apne bunde par (Furqaan) Quraan otaara taki sab ko azab e akhrat se draae (surae alfurqan ayt 1 3)surah ( alfurqan ayat25)
4)( zukhruf ayat 43)
5)(Arrehmanayat78)
ilahi barakatain
Khuda ne bahut si chizoon ko brakat wala aur apni janib se ata ki hoi nemat bataya hai . jaise musjide aqsa (surae bani israeel ayt 1)
Who zameen jis ko janabe loot ke liye pnagah qarar diya (sorae al ambiya ayt71)who padh jis se hazrat mosa ke liye aag li gai aor khuda ne os main apna noor chamkaya (surae al naml ayt 8)
Ibrahim wa ishaq ki nasl badha kar un par apni barakat nazil ki (surh saffaat ayt 18) aasman se jo barakatain nazil hoen who ilahi brakatain thin (surh al araaf ayt 7) tofhane Nooh ke mokqe par allah ne barakatain nazil ki (sura hood ayt 48)
Qurane Majeed ko babrakat qarar diya (sura inaam ayt 92. 155)
Kaba ko jo makke main hai brakat wala qaarar diya (sura al e Imraan ayt96)
Quraani ayaton se yeh bhi maloom hova ki muntakhab cheezain aur shakhsiyatain aur jaghen hain jin ko babrakat kaha gaya hai is bina par woh jin logon ko allah ne apne noor se paida kiya hai who sab mobarak hastiyan hain agar kashtiye nooh par sawar hona mobarak hai jaisa ki khuda wende aalam ne quraan e majeed main farmaya hai to khud kashtiye nooh se jin bozurgon ko tashbeeh di gai hai who to baherhaal mobarak hain . motabar ahadees main hai ki panjatane paak ki khilkat allah ne apne noor se ki hai aur apne ahlebait ko kashtie nooh se tashbeeh di hai .
(2)
Abuhuraira neRasole khuda se rawayt ki hai ki Rasool(saw) ne farmaya ki jab khuda ne aadam ko khalk kiya un ke jism main rooh daali Aadam ne arsh ke dahini taraf paanch noor ki shaklon ko sajada wa rukoo karte howy dekha allah ki baargah main arz ki ai allh kiya mujh se pahle bhi kisi ko mitti se khalk kiya hai allah ne kaha nahi Adam ne kha yeh paanch koun hain jin ko main apni shkl wa soorat ka pa raha hoon Khuda ne kaha ki yeh paanch tum haari aoulaad mai honge agar in ko khalk na karma hota to jannat dozakh arsh kursi mlaika ins kuch na khalk karta.
Mai ne apne naam se un ke namm rakhe hain main mehmood yeh mohammad ,main aali yeh ali, main fatir yeh fatema, mai ahsaan yeh hasan, main mohsin yeh hussan, main apni izzat ki qasamkha kar kahtahoonagarksuke dil main rai ke dane ke brabar bhi onki adawat hogi to main osko jahannam main dakhil kardonga a aadam yeh mera muntakhab kiye howy hain inhi ke zaeiy logon ko najaat donga aur inhi ki wjah se onhen halakat main dalonga agar tum ko mujh se koi hajat ho to onka waseela akhtyaar karma pas nabi ne farmaya ham loog panjatane paak hain safinae najaat hain jo inse wabastagi rakhkhe ga who najaat pa e ga jo inse alag rahega who halak hoga
Pas jis ko koi hajat ho ham ahlebait ke wseele se khuda se apni hajat kahe (hamweeni Fraidussimtain aurAllama Razi ki tafseer e kabeer ayate moaddat ke zail main )
Jis trah anbiya ki chodi hoi cheezain tabarukaat hain aur jab anbiya ki choodi hoi cheezain ayate ilahi aur shaerullah qaraar paen to kya wajah hai ki Mohammad w aale mohammadkichoodi hoicheezain yani unki miraas aur unkiyad grain ayaat wa saerullah qarar na pain khuda ne to nabi ki nekokar bibiyon ki taraf jocheezain munsoob hoi onko bhi ayaat aur shair qarar diya hai masalan
safa wamrwayeh who phadiyan hain jin ki doodh janabe hajira ne hazrat ismaeel ki pyas bojha ne keliye lgai thi pani ki talash main .
taboot e sakina yeh who sandooq hai jis main janabe moosa ki maan ne moosa ko lita kar darya e neel main bhaadiya tha aur os main bahut se tabrukaat the jo janabe taloot ko digainunki badeshahat ke sabot main
Qurbani e Ismaeel ki yaad
Hajare Aswad ka choomna hajiyon par lazmi hai
Touret ki do takhtiyan jo taboote sakina main thin upar ki chezon main allah ne kisi ko ayat kah kisi ko shaerullah dekhye Quraani ayaat surh baqarh ayat 158)
Surah AlHajayat 36
Surah AaleImraan ayat 27
Ab kisi ko is Haqiqat ke tasleem karne main )agar woh quraan aur hadees e Rasool par imaan rakhta hai jhijhak nahi hona chahie ki Rsool aur on ki aal ki taraf jo cheezain munsoob hain chahe amma ho ya rida nalain ya swari ke ghode jab dushman ne gawahi di ke Husain ibne aliki swari ka whi ghooda hai jo on ko miras main apne ab wajud se mila tha garaz ki jabyazidi fauj ke sipahiyon ko Imam Husain ke ghode ne tapoon se halak karna shuroo kiya aur Yazid fauj ke qaboo main woh na aya to lashkar ne safain bandh kar us ghode teer barsana chaha ki pisare saad ko khabar lag gai osne awaz di ki musakmano khabardar nabi ki sawari ka yeh ghooda hai is par teer na barsana.
Aap ne dekha ki lakdi ka woh sandooq jis main janabe Musa ko un ki maan ne daryae neel main daal diya tha woh ayat eilahiya qarar paya aur os main skoone qalb oane ki khoobi allah ne paida kar di lihaza who gahwara bhi ayat w shaere illahiya main tha jis main Hazrat Imam Husain ko sehzadi e konain Hazrat Fatema Zehra apne doono bachchon ko loriyan diya karti thin aur jis jhole ko Jibraeele amen aakar jholaya karte the agar us gahware main rifat wbolandi wpakeezgi na hoti aur os main jan bakhsh taseer aur ajazi shan nahoti to fitrus ko os se balo par na milte rasoole akram ne hi fitrus se kaha tha ki ja Husain ke gahware se apn e ko muss kar letari muraad poori ho jaigi zahir hai ki yeh irshad bhi bgair wehi e ilahi zabane mubarak par jaari na howa jis tarah gahwara ayate ilahiya main se tha waise Husaine muzloom ki zareehe aqdas bhi mojiza numa hai jis hum loog apni hajatain khuda ki bargah main pesh kar ke faezyaab hote hain asal main int choona mitti lakdi loha wgarah main koi zati sharaf hai na ajaz numai on ke andar jo bhi sharaf aata hai woh nisbat ki bina par aata hai warna taboote sakina lakdi hi ka bana howa tha haroon ka amama rooi ka aur on ki nalain kapde ya chamde ki thi jink e andar zati sifat na thi sirf nisbat ki wajh se tabarrokat qarar pa gain ab on ki tazeem na karma on ko boosa na dena ayaat w shire ilahi ya ki azamat ka khula howa alaan hai jis se insaan deen w imaan se kharij hojata hai hare tazi e taboot aur zarihen ji banate han un main bhi imam Husain ki taraf nisbat kibena parwahi taqadus aur wahi brakat paida hajati hai jo taboote sakina ko hasil hoi thi
Hamari azadari dushmano hamare taziyon zarehoon taboot ko (mazallah)botoon se tabeer kar ke ham ko mushrik tehrane ki nakaam koshish karte hain jub ki yeh tabrokate shaheed karbala imam e Husain ke rouze w zareeh ki shbeeh hai aur but parasti kaisi hamara aqida khuda e wehdahoo la shareek par hai aur ham khuda ko jism wjismniyaat se monazzah samajhte hain lihaza taziya zareeh taboot ko kandhon par otha kar hathon se choo kar labon se boosa de kar aur ankhon par laga kar yeh sabot de rahe hai ki un main se koi cheez khalik nahi hai mabood nahi hai agar taziyon aur zareehon but samajhta to oske andar turbatain na bna te ya un ko dafan na karte yeh to apne us ahsas ki tashnaga mitane ke liye hai ki ham loog karbala main hote nabizad e ka jnaza dhoom se othate aur sepurde lahed karte ki lash e mazloom e karbala aur on ke sathoyon ke lashe teen din tak jalti zameen par pade narehte
Hamari mujlison main tabarruk taqseem hota hai sabilain lagti hain pyasoon ko sharbat pilaya jata hai suni shia mil kar langartaqseem karte hain mrasine aza par achchi khasi raqam kharch kartte hain yeh sab sawaab k eliye hai jis ki jaza ham ko MohammadwaAl-mohammad ke zarie allah se milegi yehsab usi ki khusnoodi ke liye karte hainis liye ki os ke behtareenaur moqarrabtareen bando ko naam nehaad musalmano balki darindon ne aziyatain pahchain aur on ko shaheed kiya aur on ke ahle haram ko qaidi bna kar zindano main muddat taka seer rakha
Loog zam zam kachashma jo janabe Ismaeel ki adiyan ragadne se zamin se phota tah os ka pani peete hain tabarrukan seena chera par malte hain nhaneki koshish karte hain taki gnah dhul jain amraz door ho jain makka se tabarruk ke tour par apne watan le jate hain aur taqseem karte hain magarwoh khake karbala jis main Nawasae Rasoole aazam Ali w Fatema ke bete ka khoon aur onke awano ansar ka khoon mila hai ose agar ham khake shifa samajhta hain to ham ko nahaq bidati aur gumrah kahte hain
Tabarruok kya hai
Jabahle haram qado band ki musibatain bardasht karkeqaid khana e shaam se choote to kabala hote howy madina aye aur ahlebait ka ghar matam kada ban gaya madine ki aoratain bani hashim ke ghar main jama hoti aur ahleharam raat din apne wrasa jo karbala main bedardi se sheed kardiye gayenouha matam karti madine ki ak aourat ko jab janabe robab ne dekha who bar bar oth kar kahin jati hai aur phir lout kar aati hai aur ahleharam ke sath mil kar girya wzri karti hai janabe robab neo s se poocha ki oth kar khan aurkyon jati hai os ne kha jab mujhe bhook lagti hai to mai ghar jati hoon aur kuch kha leti hoon isliye ki bhook ki wajh se mera aansoo khushk hojate hain aur kuch kha leti hoon to phir mera aansoo nikalte hain os waqt se Janabe Robab ne yeh ahtemam kiya ki jo bibiyan on ke sath girya wzari w matam karti thin on ko sattoo taqseem karti thin yeh hamari mujlison main tabarrok usi ki yaad gaar hai jo deene fitrat ke aine mutabiq hai
By Hujjatul Islam Maulana S.Ali Akbar Rizvi.





0 comments
Post a Comment